Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

Re: Kia Hamai'n Zalemeen, Kazebeen or Munafeqeen Par Lanat Bhaijni Chahiay?

**agar Allah o Rasool s.a.w.a.w., or quran kay sath mil kar aap bhi zalemeen, munafeqeen or kazebeen say baizar rahai'n gay to bhala aap khud kis tarah in mai'n shumar ho saktay hai'n?

agar in say baizari naa ho to mumkin hay keh hamara shumar bhi in mai'n hi ho jaay.

doosray yeh keh bay shakkk ham mai'n say koi bhi ghalati say mubarra nahee'n magar kia quran paak kay usloob ko apnanay say saaf inkar or un say mohabbat ka izhar jin say quran or Allah-o-Rasool s.a.w.a.w., baizar ho'n, ziada bari ghalati nahee'n?

or waisay bhi zahir hay keh jab hamaray dilo'n mai'n zalemeen-o-munafeqeen-o-kazebeen kay liay baizari ka maadah ho ga to yaqeenan ham khud bhi zulm, munafiqat or kazb kay raasto'n say bach'tay rahai'n gay..... or aakhirat mai'n zalemeen, munafeqeen or kazebeen mai'n shumar honay say bhi bach sakai'n gay....**

*hairat hay keh jab quran misal paish kar raha ho keh Allah "Ahl-e-Eeman" mai'n shumar karta hay un ko jo baizar rehtay ho'n un say jin say Allah o Rasool s.a.w.a.w., baizar hai'n to phir aaj ka musalman kis bunyad par zalemeen, munafeqeen or kazebeen say baizari ko tark kar kay apnay aap ko "Ahl-e-Eeman" mai'n shumar kar raha hay?
*