khayaal

aadatan tum ne kar diye waade
aadatan hum ne aitbaar kiya

teri raahon main baarha ruk kar
hum ne apna he intezaar kiya

ab na maa’nge ge zindagi ya Rab
ye gunaah ham ne aik baar kiya

By Gulzar

Re: khayaal

nice… :k:

Re: khayaal

Ghazab kiya tere waade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayamat ka intezaar kiya

ha'nsa ha'nsa ke shab-e-vasl ashk baar kiya
tasulliyan mujhe de de ke beqaraar kiya

ham aese mahv-e-nazaara na tha ke hosh aata
magar tumhaare taghaful ne hoshiyaar kiya

fasaana-e-shab-e-gham un ko ek kahaani thi
kuch aitbaar kiya aur kuch na-aitbaar kiya

ye kis ne jalwa hamar-e-sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha haa_e beqaraar kiya

tarhap phir ay dil-e-nadaan ki ghaer kehte hain
aakhir kuch na bani sabr ikhtiyaar kiya

bhula bhula ke jataaya hae unko raaz-e-nihaa'n
chipaa chipaa ke mohabbat ko aashkaar kiya

tumhe tu waada-e-deedar hamse karna tha
ye kya kiya ke jahaan ko umeedwaar kiya

na puuch dil ki haqeeqat magar ye kehte hain
wo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya

kuch aage daawar-e-mahshar se hai umeed mujhe
kuch aapne mere kehne ka aitbaar kiya

By: Dagh Dehlvi

Re: khayaal

Taskeen-e-dil-e-mahzuu na huee, wo sa-ee ye karam farmaa bhi gaye
uss sa-ee ye karam ka kia kahiye, bahlaa bhi gaye tarhpaa bhi gaye

aik arz-e-wafa bhi kar na sakey, kuch kehna sakey kuch sunn na sakey
yaan ham ne zabaan he kholee thee, waan aankh jhuki sharmaa bhi gaye

aashuftagi-e-wahshat ki qasam, hairat ki qasam hasrat ki qasam
ab aap kahein kuch ya na kahein, ham raaz-e-tabassum paa bhi gaye

rudaad-e-gham-e-ulfat unn se ham, kya kehtey kyun kar kehtey
aik harf na nikla hoto'n se aur, aankh main ansoo aa bhi gaye

iss mehfil-e-kaif-o-masti main iss anjuman-e-irfaani main
sab jaam bakaf baethey rahein, ham pee bhi gaye chalkaa bhi gaye

By: Majaz

Re: khayaal

jab duniya main ahi gay tu kuch kar kay dikhaye himat kijiye na ghabraiye
:)

Re: khayaal

very nice

Re: khayaal

Na soucha na samjhaa na seekha na jaaana
mujhe aa gayaa khud_ba_khud dil lagaana

Zaraa dekh kar apnaa jalwaa dikhaana
simat kar yaheen aa na jaaye zamaana

Gulo'n taq lagaaee tu asaaan hai lekin
hai dushwaar kaanto'n se daaman bachaana
Karo laakh tum maatam-e-naujawaani
Pa 'mir" ab nahee aayega woh zamaana

By : Mir Taqi Mir

Re: khayaal

achi collection hai mera-bus :)

Re: khayaal

:k: lovely

Re: khayaal

Kabhi yun bhi aa meri aankh main ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe aik raat nawaaz de magar uske baad sahar na ho

Wo barha Raheem-o-Kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhuulne ki dua karuun tu dua mein meri asar na ho

Wo firaaq ho ya visaal ho, teri yaad mehkegi aik din
Wo gulaab ban ke khilega kya, jo charaag ban ke jalaa na ho

kabhi dhuup de, kabhi badliyaan, dil-o-jaan se dono khabuul hain
magar uss nagar mein na qaid kar jahaan zindagi ki hawaa na ho

kabhi din ki dhuup mein jhuum ke kabhi shab ke phuul ko chuum ke
yun he saath saath chalein sadaa kabhi khatm apna safar na ho

mere paas mere habeeb aa zaraa aur dil ke khareeb aa
tujhe dharkanon mein basaa luun main ke bicharne ka kabhi dar na ho

By : Basheer Badr

Re: khayaal

:lajawab: all of them … but esp the one by mir taqi mir.

Re: khayaal

Aaj mere shab-e-furqat ki sahar aa ee hai
muddato'n baad teri raahguzar aa ee hai

dekh tu leejiye mere khuun-e-tamanna ki bahaar
jis ki surkhi meri aankhon mein utar aa ee hai

tuu ne tu tark-e-muhabbat ki qasam khaee thi
kyun teri aankh mujhe dekh ke bhar aa ee hai

un ke pairahan-e-rangeen ki mahak hai iss mein
aaj kya baad-e-sabaa ho ke udhar aa ee hai

By: Shamim Jaipuri

Re: khayaal

wow mero u have lots of well it,s nice one shabash

Re: khayaal

Shaam-e-gham kuch uss nigaah-e-naaz ki baatein karo
bekhudi barhti chalee hai raaz ki baatein karo

Nikhat-e-zulf-e-parishaan daastan-e-shaam-e-gham
subha hone taq issii andaaz ki batein karo

ye sukuut-e-yaas ye dil ki rago'n ka tuut na
khamoshi mein kuch shikast-e-saaz ki baatein karo

kuch qafas ki teeliyon se chann raha hai noor sa
kuch fazaa kuch hasrat-e-parwaaz ki batein karo

Jis ki furqat ne palat di ishq ki kayaa "firaq"
aaj uss Eessa-nafas dam-saaz ki batein karo

By Firaq Gorakhpuri

Re: khayaal

Mirabbas Ji,
apki khubsoorat collection to parh kar ... iss mein izafa karna chaha ... gar bura lage tu plz keh dalye ga.

uss ki hasarat hai jisse dil se mita bhi na sakon
dhoondhne uss ko chala hoon jisse pa bhi na sakon

**daal kar Khaak mere khoon pe qaatil ne kaha **
**kuch yeh mehndi nahin meri ke mita bhi na sakon **

**zabt kambakht ne aur aa ke galaa ghoonta hai **
ke usse haal sunaoo'n to sunaa bhi na sakon

**us ke pehlu mein jo leja ke sulaa doon dil ko **
neend aisi usse aaye ke jagaa bhi na sakon

**naqsh-e-pa dekh to loon laakh karon ga sajde **
sar mera arsh nahin hai ke jhuka bhi na sakon

**bewafa likhte hain woh apni qalam se mujh ko **
ye woh qismat ka likha hai jo mita bhi na sakon

**iss tarah soye hain sar rakh ke mere zaanon par **
apni soyee hui qissmat ko jaga bhi na sakon

(Ameer Minai)


Re: khayaal

Jigar Mirabbas....kiya baat hai...subhanallah !
Bh'i aapki Zambeel main bare aabdaar Moti Hain, Inhen
alag alag post karen... har moti par alag tarha se aur khul kar
wah wah honi chaiye..... !

Re: khayaal

Salam Bhai Darwesh
Bhai sabse pehle tu aap sab log ka shukr guzaar huun, aap log apna kheemti waqt dete hain aur phir honsla bhi barhate hain. Bhai alag alag post nahi karne ki aik wajh ye hai ke parhne walon ko zehmat na ho ye souch kar aik he thread mai post karta hoon.... once again thanks for appreciation... Takecare Allah hafiz

Re: khayaal

Althea your choice is superb..... aapne izafa na kiya hota tu yaqeenan bura lagta. Thanks alot...

Re: khayaal

i gonna give u GS 2006 award soon wait

Re: khayaal

Her aik baat pe kehte ho tum ke tuu kya hai
tumhee kaho ke ye andaaz-e-guftaguu kya hai

jalaa hai jism jahaan dil bhi jal gaya hoga
kuraed te ho jo ab raakh justajuu kya hai

Ragon mein daurthe phirne ke ham nahi qayil
jab aankh he se na tapka tu phir lahuu kya hai

rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi
tu kis umeed pe kahiye ke aarzuu kya hai

banaa hai shaah ka musaahib phire hai itraata
vagarna shahar mein Ghalib ki aabruu kya hai

By : Mirza Ghalib