khayaal

Re: khayaal

Hangaama-e-gham se tang aakar izhaar-e-masarrat kar baethe
mash-huur thi apni zinda dilii daanistaa sharaarat kar baethe

koshish tu bohat ki hamne magar paaya na gham-e-hasti ka mafar
viraani-e-dil jab had se barhi ghabraa ke mohabat kar baethe

her cheez nahi ek markaz par ek roz idhar ek roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko shaayad ye mohabat kar baethe

By: Shakeel Badayuni

Re: khayaal

chund aur khiyalaat ....


***saaqiya chor na khali mere paimane ko
itni hi de dey ke ho jaye qasam khane ko


***saaqi ye ehad-e-shikan iss mein bigarrna kaisa
koi paimaan ko torre, koi paimaane ko

kuch to ho jati hai kam sifat-e-tauba shikani
pi ke hum tor diya karate hain paimaane ko

jitane munh utni hi batein hein barhe kiyon na junoon
sab ne diwanna bana rakha hai diwanne ko

***(Qadeer)

Re: khayaal

Kabhi kaha na kisi se tere fasaane ko
na jaane kaese khabar ho gaee zamaane ko

chaman mein barq nahi chorhti kisi surat
tarha tarha se banata hoon aashiyaane ko

suna hai ghaer ki mehfil mein tum na jaaoge
kaho tu aaj saja loon ghareeb khaane ko

dua bahar ki maangi tu itne phool khile
kaheen jagah na mili mere aashiyaane ko

dabaa ke qabr mein sab chal diye dua na salaam
zaraa si der mein kya hogaya zamaane ko

ab aage iss mein tumhara bhi naam aaygaa
jo hukm ho tu yaheen chorh doon fasaane ko

Qamar zaraa bhi nahi tum ko khauf-e-rusvaee
chale ho chaandni shab mein unhein manaane ko

By: Qamar Jalaalvi

Re: khayaal

Uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahi
baais-e-tark-e-mulaqaat bataate bhi nahi

Khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chupte bhi nahi saamne aate bhi nahi

ho chuka qata talluq tu jafaaein kyun ho
jinko matlab nahi rehta wo sataate bhi nahi

zeest se tang ho ay Daag tu jeete kyun ho
jaan pyaari bhi nahi jaan se jaate bhi nahi

By : Daag Dehlvi

Re: khayaal

Bohat umda zauq aur zabardast selection hai. Asaatza ko suna rahe hain. Khush rahiye !!!

Agar aap k paas Ustad Zauq ki ye ghazal ho to plz zaroor post kar dijiye jis ka aik she'r ye hai;
Gaya shaitaan maara aik sajde k na karne se
Agar laakhon baras sajde mein sar maara to kya maara !
(mujhe is she'r mein bhi doubt hai,pata nahi sahi hai k nahi)

Re: khayaal

Bhai Zamil Ustab Zauq ki duusri Ghazal post kar raha hoon.

Kal gaye thay tum jise bemaar-e-hijraan chorh kar
chal basaa wo aaj sab hasti ka samaan chorh kar

tifl-e-ashk aisa giraa daaman-e-mishgaan chorh kar
phir na uthaa kuucha-e-chaak-e-garibaan chorh kar

Gar khuda deve qaenaat maah-e-yak-hafta ki tarha
daurhe saari ko kabhi aadhi na insaan chorh kar

By: Ibrahim Zauq

Re: khayaal

Na jaane aaj ye kis ka khayaal aaya hai
khushi ka rang liye her malaal aaya hai

wo ek shaqs ki haasil na tha jo khud ko bhi
mitaa kisi pe tu kaesa bahaal aaya hai

zabaan pe harf-e-talab bhi nahi koee phir bhi
nigaah-e-dost mein rang-e-jalaal aaya hai

Kiya na zikr bhi jis ka tamaam umr kabhi
hamare kaam bohat wo malaal aaya hai

By : Ahmed Hamdani

Re: khayaal

Tere ishq ki intehaa chahta hoon
meri sadagi dekh kia chahta hoon

sitam ho ki ho waada-e-behijaabi
koee baat sabr aazmana chahta hoon

koee dam ka mehmaan hoon ay ahl-e-mehfil
chiraag-e-sahar hoon, bujhna chahta hoon

bhari bazm mein raaz ki baat keh di
barha be-adab hoon saza chata hoon

By: Sir Mohammad Iqbal

Re: khayaal

Some of them are very nice. :k:

Re: khayaal

Thank you...

Re: khayaal

Main khayaal hoon kisi aur ka, mujhe souchta koee aur hai
sar-e-aeena mera aks hai, pas-e-aeena koee aur hai

main kisi ke dast-e-talab mein hoon, tu kisi ke harf-e-dua mein hoon
main naseeb hoon kisi aur ka, mujhe maangta koee aur hai

kabhi laut aay tu na poochna sirf dekhna barhe ghaur se
jinhein raaste mein khabar huee ki ye raasta koee aur hai

ajab aitbaar-ba-aitbaari ke darmiyaan hai zindagi
main qareeb hoon kisi aur ke, mujhe jaanta koee aur hai

wahi munsifon ki rivayatein wahi faislon ki ibaartein
mera jurm tu koee aur tha per meri saza koee aur hai

teri roshni meri khaddo khaal se mukhtaflif tu nahi magar
tuu qareeb aa tujhe dekh loon tuu wahi hai ya koee aur hai

By: Saleem Kausar

Re: khayaal

^ wonderful!

Re: khayaal

Thank you.....:)

Re: khayaal

Kisi bekas ko ay bedaadgar maara tu kya maara
jo aap he mar raha ho uss ko gar maara tu kya maara

Na maara aap ko, jo khaak ho akseer ban jaata
agar paare ko ay askeergar maara tu kya maara

ha'nsi ke saath yaan rona hai misl-e-qolqol-e-meena
kisi ne qah qah-he ay be-khabar maara tu kya maara

gaya shaitan maara aik sajde ke na karne mein
agar lakh baras ser sajde mein maara tu kya maara

dil badqaah mein tha maarna ya chashm-e-badbeen mein
falak per Zauq teer aah gar maara tu kya maara

By: Ibrahim Zauq

Re: khayaal

Khush rahein janaab !

Bohat shukria. :-)

Aik she'r or hai is ghazal ka jis ka aik hi misra yaad hai;
"Barre moozi ko maara nafs-e-amaara ko gar maara"

Agle misre ki ending hai; "...sheir-e-nar maara to kya maara"

Agar kuch is baare mein pata chal sake to.... 8-]

Re: khayaal

Assalaam va alaykum
aap ki farmaish pesh hai

bade mooji ko mara nafs e ammara ko gar mara
nahang o ajdah o sher e ner mara to kya mara

dil e sangin e khushro per bhi jarb e kohkan pahunchi
agar tesha sar e kuhsaar per mara to kya mara

Re: khayaal

Bohar shukria S S !
8-]

Re: khayaal

Le ke qasid khabar nahi aata
jaane kyun laut kar nahi aata

dil kisi aur par nahi aata
tum se acha nazar nahi aata

uff ye tareeki-e-shab-e-furqat
koee apna nazar nahi aata

shab mein unn ke ghar gaya tu kaha
din mein to ay 'Qamar' nahi aata

By: Qamar Jalaalvi

Re: khayaal

Meherbaan ho ke bulalo mujhe chahe jiss waqt **
**main gaya waqt to nahi hoon ke phir aa bhi na sakon

Zauf mein tanaa-e-agyaar ka shikwa kya hai
baat kuch ser to nahi ke uthaa bhi na sakon

Zeher milta he nahi mujh ko simatgar warna
kya qasam hai tere milne ki ke khaa bhi na sakon

By: Mirza Ghalib

Re: khayaal

Dayar-e-ghaer mein kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhi jaata tu tujhe ga'nvaa dete

tumhee ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte ke ham aasmaan hilaa dete

hamein ye zom raha ab ke wo pukaare'nge
unhein ye zid thi ke har baar ham sadaa dete

wo tera gham tha ke taaseer mere lehje ki
ke jis ko haal sunaate usey rulaa dete

tumhari yaad ne koee jawaab hi na diya
mere khayaal ke aansoo rahe sadaa dete

By: Wasi Shah