Bilkul durust farmaya aap ne, lanat bhaijain ya nahin, jo Allah SWT ne un ke saath karna hai wo to hoga. Yahan baat durust ki nahin hai, baat priority ki hai, hum log lanat malamat mein ziyada time surf kartay bajai taa’meeri kaamon mein.
Apni hi misaal le lijiay, aap abhi tak lanat malamat per atkay huay hain. Apni sochiyiay or apnay saatheon ki sochiyiay ke is dunya mein ub kiya karna hai musalmanon ke haalaat behtar bananay ke liyiay.