![]()
aik yeh bhi bohat ghambeer masala hay keh aksar log in waqeaat ko achi tarah jaantay bhi hai’n yahaa’n tak keh tareekh ki kutub mai’n kis kis ka ehtajaj record hay unhai’n uss ki bhi khabar hay, magar iss tamam ilm kay bawajood, apnay shohar ki laash par bain karti baiwah kay sath uss kay maqtool shohar ki tadfeen say pehlay kiay jaanay walay “naam nehaad” nikah say mutalliq apni hi fiqah mai’n mojood munasib tareen lafz kay istamal say guraiza’n bhi rehtay hai’n.
waisay brother Das Reich, protest karnay walo’n mai’n say kuch nay to khud bhi hakoomat ki hay, agar un ka protest zalim ko uss kay zulm ki saza nahee’n dilwa saka to yaqeenan unho’n nay apnay dor-e-hakoomat mai’n zalim ko uss kay zulm ki saza zaroor di ho gi…
agar aisa hay to woh yaqeenan qabil-e-ehtaram hai’n…