**Ker Leya Hai Faisla Kehna Ossay
Abb Na Hoga Rabta Kehna Ossay
Jis Pay Hum Chaltay Rahay Hain Sath Sath
Kho Gaya Woh Rasta Kehna Ossay
Teri Yaadein Dil Se Rukhsat Ho Gai
Ho Chuka Yeh Saneha Kehna Ossay
Abb Na Dekhay Gaa Tumhara Rasta
Dil Ko Mai Samjha Chuka Kehna Ossay
Chain Say Sonay Na Dega Ghum Tujhe
Raat Bhar Abb Jagna Kehna Ossay
Aashna Ban Kar Na Milna Rah Main
Dosti Ek Khuwab Tha Kehna Ossay
Murr Kay Pechay Dekhtay Hum Bhi Nahi
Soch Kar Moo Phairna Kehna Ossay**