Kaha tha na...

Salamzz…

Kahan tha na..!

keh yoon sotay howe mat chor kay jana..

Mujhay beshak jaga dena..

Bata dena..!

Tumhain rasta badalna hay..

Meri hadd say nikalna hay..

Tumhain kis baat ka derr tha..??

Tumhain jaanay nahi deta..??

Kahin per qaid ker leta..??

Aray pagal MOHABBAT ki tabiat main zabardasti nahi hoti..

Jisay rasta badalna ho, usay rasta badalnay say..

***Jisay hadd say nikalna ho, ***

Usay hadd say nikalnay say..

Na koi rok paya hay, Na koi rok paaye ga..

Tumhain kis baat ka derr tha..

Mujhay beshak jaga detay..

Main tum ko dekh hi leta..

Tumhain koi dua deta..

Kam-az-kam yoon to na hota..

Meray saathi haqeeqat hay…

Tumhaaray baad khonay k liye kuch bhi nahi baaqi..

Magar khonay say darta hoon..

“MAIN AB SONAY SAY DERTA HOON”

------------------*

ahhh… very nice :k:

Re: Kaha tha na...

Magar khonay se darta hooN :( v nice

Re: Kaha tha na...

just superb............

Re: Kaha tha na...

Beautiful...

umda!

Re: Kaha tha na…

Aray pagal MOHABBAT ki tabiat main zabardasti nahi hoti..

Jisay rasta badalna ho, usay rasta badalnay say..

Jisay hadd say nikalna ho,

Usay hadd say nikalnay say..

Na koi rok paya hay, Na koi rok paaye ga..

~:~Tumhaaray baad khonay k liye kuch bhi nahi baaqi..

Magar khonay say darta hoon..

“MAIN AB SONAY SAY DERTA HOON”

waaaaaaaaaaaaaaah mind blowing superb :flower1: