Aap main say kissi ko kabootar baazi ka shauq hay ya thaa… ?
Amreeka , Kanaidaa, aastrailyaa, Yoorup, Inglaind waghaira main rehnay walay tu shaied yeh shauq nahi kar saktay.
Laikin hamaray pakistan main aisi koi paabandi nahi thee..
Hamaray Nazimabad walay ghar ki chaat (roof) pay mashaAllah kabootroon ki poori colony thee All kinds of kabootars. LaQQa , Lulsirray, Kalsirray..
Garmi ki shaam main kyaa raunaq hoti theee :love:
Walid sahib qibla, pehlay baalti say poori chaat pay paani dala kartay thaay. Allah Allah , June July ki garmi, sari zameen aag ki tarhaa Phukk rahi hoti thee. Phirr aik koonay main charpai daali jati thee. Phirr aik aik kar kay kabootroon ki kabuk khooli jati thee.
Kabootar aisay trained, samajhdar, aik seeti marro to hawa say batain karnay lagtay thaay - doosri seeti maroo tu wapis a kar apni chattri pay baith jatay thaay. Ham unn ka dana daaltay thaay, pani ka bartan bhaar kay rakhtay thaay…
Ab na walid sahib rahay , na woo ghar ki chaat rahi, na woo kabootar. Bass yadain baqi reh gai hain.
Haiey Haiey - kabhi yaad ati hay tu kalaijaa khoon ho jata hay …
There was a dude in our street who used to have a lot of kabootars on his roof. Woh unhe urney ki training deta tha, used to talk to them and train them to go certain places and come back home by certain time etc.