Zindagi kay kuch pachtawoon ko pehli baar eik jagha ekhata karnay ke koshish ke hay main nay. So, I request all of you to please take out some time to comment and correct me. thanks
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
** kabhi kabhi shaam kay is pehar, main soochta hoon .. garr main shauk-e-wsiaal rakhta, na tanha hota ..wo meri har saans kay sang hotay ..
iss zindagi main, bhee rang hotay ..
garr main rangon main khail sakta, na tanha hota ..
meri zaat kay, sab dareechay ..
mohabatoon say, purnoor hotay ..
garr main haqiqat ko, dekh sakta , na tanha hota ..
meri zindagi bhe, muskoranay lagti ..
mujhay bhe mohabat, nazar anay lagti ..
garr main isharoon, ko jaan sakta, na tanha hota ..
udaas shaamain, or hamkalami ..
meri zindagi say, bohot door hotay ..
garr main qurbatoon ko, sambhaal sakta, na tanha hota ..
osi ke chahat, main jaltay jaltay ..
akeli rahoon, pay chaltay chaltay ..
garr main fasloon ko, samaet sakta, na tanha hota ..
yeah kaali raatin, yeah sooni ankhain ..
chahtoon ke roshni say, chamakti rehteen ..
garr main chahatoon ko, chahaa sakta, na tanha hota ..
yeah aaj, yoon is tarhaan say ..
bulateen hain kiyon, mohabat ke rahain ..
garr main mohabatoon ka, paas rakhta, na tanha hota ..
ajeeb sa dard, lahaq hay dil ko ..
kisi say milnay ke, chahat hay dil ko ..
garr main azal say, iss dil kee sunta, na tanha hota ..
hay aab museebat, har eik lamhay kee ..
guzarti nahi hay, guzaar nay say ..
garr main iss zindagi ko, guzaar sakta, na tanha hota ..
har lamha “Azam”, apni chahatoon ka, khayal rakhna ..
guzray lamhoon ke, ghaltiyoon pay, mallaal rakhna ..
garr main apna maazi, phir say sanwaar sakta, na tanha hota ..
kabhi kabhi shaam kay is pehar, main soochta hoon!
**
I am like an Open Book Except for the few pages of my past, My life is an empty book. It takes the shape of a mystery, To me it does at least. For I cannot tell what happens next, Too many cliffhangers and too much suspense. But its clues all lead eventually to the same place, Unfortunately it does not say where. It only says get the next book, For in this one you’ ve ran out of room.