~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

… kaY agar hamaari zubaan bhee Gaaye yaani mohtarmaa COW kee tarah lambi hoti tau kitnaY faaidaY hotaY …

for example:

  • naak kee safaai maiN haath kaa istemaal ka’m ho jaataa

  • hamaari zubaan kee misaalaiN dee jaateeN

  • Ga’z bhar kee zubaan waalaa muhaaraa such ho jaataa

kaisaa dastoor-e-zubaaN bandi hai teri mehfil maiN
baRay baY zubaaN ho kaY teraY koochaY saY hum niklaY :hinna:

Re: Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN

and I am thinking about the French Cows :hmmm:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

aur koii us ko kainchi se larai :bummer: mein kaat deta to

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

Anwaar Bhai .. app kay liye mai nay KALA KOLA liya hai…wo lagain or bachiyaan pansayain :shoaby:

Re: Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN

uncel waise unhian mad cow disease to nahi hai :hmmm:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

:rotfl: koii zubaan ko kaboo mein rakhne ka tareeqa batao yeh kiya kala kola

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

Cow ki dumm par aap nay kuch nahi farmaaya ;-)
makhiaan bhagaanay kay baray kaam aati hay wo bhi ... ;-)

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

Kala Kola kay bal bootay par yeh karnama sarr anjam diya tu kaun sa kamal kiya

Baat tu jab hay agar ganjay ho kar yeh kaam karoo :shoaby:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

hamari zubaan choti kiyoon hai ghalib
khuch to hai jis ki parda daari hai :bummer:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

abb aap kee umer guzar gayee hai yeh subb sochnaY kee :whistling

what is kaadeta :vivo:?

bhai saahab.. I have more black hair than anyone on GS .. Trust me :slight_smile:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

pata nai kyon maira :crying: ko mood ho rayaa hai, yea thread parRh kar

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

kaat deta hoonh

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

yaar DUMM kee baat naa karo

GaaYe kee dumm bhee baY wajah naheeN Ghalib
Kuch tau hai jiss kee pardaa daari hai

baat iss waqt zubaan par hai aur zubaan zad-e-aam baataiN jaisaa kaY DUMM ko zer-e-beh’s naa laanaa hee daanishmandi hai :chai:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

haaw is ka matlab tumhari zuban gaz bhar ki hai :eek:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

theek kahaa… :chai:

kuch sunaaoN?? :faizy:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

:lb::lb::lb::lb::lb::lb::lb:

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

dehaan se sunana mere haath mein qainchi hai :chai:
muhawra hai naa
apni zubaan apne haath mein

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

isn’t it something like ‘ke bat kerne ko tarasti he zuban meri’. am i wrong?

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

yeh shair jis ka AQ sahib ne qatal kiya hai us ka akhri misra khuch yoon hai
bare abroo ho ker tere koochay se ham niklay

Re: ~ Kabhi kabhi maiN sochtaa hooN ~

daikho main abhi serious hoon, busy hoon, kaam kar raha hoon, abhi mera phoot phoot kar hansnay ka mood nahi, iss liay please RONA NAHIIIIIIIIII

Zabaan ka aik talluq dumm say bhi hay, agar dumm na hoti aaj yeh cow bhi na hoti, issay dunnia ki makhiaan kha jateen…

yehi wo dumm hay jo jab door kaheen khaiton main hilti hay to dewaanon, and chnchal jawanon kay dil hilnay lagtya hain…

door say daikha to haseena baal sukha rahi thi
Qareeb jaakay daikha to cow dumm hila rahi thi…