Kaash
Kaash mein terey qalm ki siyaahi hota
Kisi kaghaz ki lapait mein aakur
Koi sheir tera banta mein kabhi
Kash mein tera hijaab hota
Teri zulfon sey roz lipat kar
Din bhur unko sehlaata mein kabhi
Kaash mein terin aankhon ka taara hota
Teri Chashm ki gehraiyon sey nikal kur
Terey gaalon sey lug jaata mein kabhi
Kaash mein tera cigarette hota
Khud to jalta magar
Terey hoton sey lagta mein kabhi
Kaash mein tere kaan ka til hota
Cheekh cheekh kur apni pukaar sey
Teri baaliyon ko apna banata mein kabhi
Kaash mein teri khusboo hota
Terey ird gird gardishein kur kur
Ek pal bhi tugh sey dur na hota mein kabhi
Kaash mein hota aaina tera
Teri rukhsaar ki jhalak ki taak mein
Apna waqt guzarta mein kabhi
Kaash mein hota paizaib teri
Uchul Uchul kur apni jhankaar sey
Apni mohabbat ka izhaar karta mein kabhi
Kaash mein hota palkein teri
Teri Aankhon keh bund ho jaanay pur
Gham sey khud bhi jhuk jaata mein kabhi
Kaash mein hota shaamein teri
Din ki uljhaanon keh ihtitaam pur
Pass bus terey mein hi hota kabhi
Kaash mein anghooti hota teri
Teri ungliyon ko dabooch kur
Aanson mein bhi bahata kabhi
Kaash mein dharkan hota teri
Apnay dharaknay keh andaaz sey
Apnay dil ka haal tugh ko sumghata mein kabhi
Kaash mein dahleez hota teri
Terey qadmon ki aahat keh intizaar mein
Din bhur muqeem rehta mein kabhi
Kaash mein hawa hota kabhi
Apnay rukhon ko maur kur
Terey shehr mein roz aata mein kabhi
Kaash mein shabnam hota kabhi
Khirki pur jo jumti teri
Tu ungliyon keh zor sey mugh pur harf garti kabhi
Kaash mein barish ki boondh hota kabhi
Jo baadlon ko chor kur
Teri haatheli mein dum taur jaata kabhi
Pur Imran tu to kuch bhi naheen
Tu to uskay shehr ki
woh ghubaar bhi naheen
Masal kur jo uskay qadmon talay
Pur musarat Apni zindagi guzaar dey