jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

isay yaad rakhna muhaal tha mujhay bholnay par malal tha meri fikar ko jala mili woh tera hi hushn-e-khyaal tha

kabhi gardish-e-waqt nay aj tak meray hoslay ko na maat di
jo hawa kay rukh pay tha sofishaa’n woh mera hi husn-e-khyaal tha

ye har ek sham diya jala kay hawaoo’n say mera pochna
tum hi kuch bataoo kay kya huwa mera akhri jo sawal tha

faqt ek zarb-e-khafeef say mera abgeena bigar gya
jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

ram-e-ah’ho jasay gureezpa ho khud agehi kay saraab mai
wohi hijratoo’n ka fareeb tha wohi gham-e-dil ka ghazal tha

koi kya bataye kay zeest mai na kashish rahi na maza raha
jo guzar gya woh shabab tha jo bikhar gya woh jamal tha

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Shabash shabo :cb: thx for sharing !

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

hus kyu rahay ho :rolleyes:

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

v nice :ASA:

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Koyi hans raha hai tau danda dikha raha hai..:slight_smile: Lekin main tau yehi kahoon ga Shab-e-Hijar Good One..:k:

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

waah g bahut aalaa

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

koi kya bataye kay zeest mai na kashish rahi na maza raha
jo guzar gya woh shabab tha jo bikhar gya woh jamal tha

**
V nice sharing shabo :)<!-- / message -->

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

"ye har ek sham diya jala kay hawaoo'n say mera pochna
tum hi kuch bataoo kay kya huwa mera akhri jo sawal tha

**
ram-e-ah'ho jasay gureezpa ho khud agehi kay saraab mai
wohi hijratoo'n ka fareeb tha wohi gham-e-dil ka ghazal tha"

Very nice..

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Nice1.. :k:

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Bohat khoob..

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Wah
Kya Kehnay
Zabardast Intekhaab

Zabardast Zabardast Zabardast:) *
  • koi kya bataye kay zeest mai na kashish rahi na maza raha jo guzar gya woh shabab tha jo bikhar gya woh jamal tha [/quote]

NICE...CHOICE.........THANKS.......SHABBU

*

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Buhat Aalaa Sharing Shazzz :~)

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Bohat khoob Chando jee. :)

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

NIce one.

thanks guys :flower1:

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

buhut hi khoob :)

thank you danie :)

Re: jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

Bohat khoob sis
<!-- / message -->