Paglee
1
*
isay yaad rakhna muhal tha mujhay bholnay pe malal tha
meri fiker ko jo ja mili wo tera he husan-e-khayal tha
kabi gardish-e-waqat ne aaj taak meray hoslay ko na maa’t de
jo hawa k rukh pe tha zo-fishaN wo mera he husan-e-khayal tha
ye her aik shaam diya jala k hawa’ooN se mera poochna
tum he kuch bata’oo k kia huwa, mera akhri jo sawal tha
faqat aik zarab-e-khafeef se mera aa’bgena bikhaR gaya
jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
rum-e-aho jesay garez-pa, ho khud aa’gahi k saRab maiN
wohi hijratooN ka faraib tha wohi zakhmi dil ka gaza’al tha*
Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
[QUOTE]
Originally posted by Paglee: *
isay yaad rakhna muhal tha mujhay bholnay pe malal tha
meri fiker ko jo ja mili wo tera he husan-e-khayal tha
kabi gardish-e-waqat ne aaj taak meray hoslay ko na maa't de
jo hawa k rukh pe tha zo-fishaN wo mera he husan-e-khayal tha
ye her aik shaam diya jala k hawa'ooN se mera poochna
tum he kuch bata'oo k kia huwa, mera akhri jo sawal tha
faqat aik zarab-e-khafeef se mera aa'bgena bikhaR gaya
jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
rum-e-aho jesay garez-pa, ho khud aa'gahi k saRab maiN
wohi hijratooN ka faraib tha wohi zakhmi dil ka gaza'al tha*
[/QUOTE]
Bohat Khoob Paglee :)
Thanks for sharing...
Mehvar
4
Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
wah wah…ye to bahot hi achi ghazal hae. kia kehne:k:
Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
Very nice :k:
Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
books main kuch meray liye bhi chordain
sari acchi acchi
ghazals khud post kartay jarahay 
PS

Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
Wah .. kitni khubsurat ghazal Wah
phaylay gee ous kay saath bhi tayray haath ki khushboo
Paglee, hawa kay doosh pay likha na kar mujhay
wah
beautiful. makes ur imagination soar wild
Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
[QUOTE]
Originally posted by Paglee: *
kabi gardish-e-waqat ne aaj taak meray hoslay ko na maa't de
jo hawa k rukh pe tha zo-fishaN wo mera he husan-e-khayal tha
ye her aik shaam diya jala k hawa'ooN se mera poochna
tum he kuch bata'oo k kia huwa, mera akhri jo sawal tha
faqat aik zarab-e-khafeef se mera aa'bgena bikhaR gaya
jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
Beautiful Paglee Jii,Thanks for sharing :-)
Shandar:k:
thnx for sharing:)
Paglee
13
Re: Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Bohat Khoob Paglee :)
Thanks for sharing...
[/QUOTE]
:) thanks 4 liking..:)
Paglee
15
Re: Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
thanks thanksss..
jeeti rahiey
Re: Re: Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
Achi cheez ko acha bolnay main buKhul nahee kertay…
Chando jee kay liay bhi kuch ChoR do… 
Paglee
17
Re: Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
ufo masoom per itna gussa suchi se jitni be ki hain post aik be book main se nahi hia

book parnay ka tame he nahi na milda chando g…yehi beth k yehi dhondhti rahti achi lagti koi tu post u know 100 main se aik…
Re: Re: Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
aww roye to na i was jus kidding 
Re: jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
[QUOTE]
Originally posted by Paglee: *
isay yaad rakhna muhal tha mujhay bholnay pe malal tha
meri fiker ko jo ja mili wo tera he husan-e-khayal tha
kabi gardish-e-waqat ne aaj taak meray hoslay ko na maa't de
jo hawa k rukh pe tha zo-fishaN wo mera he husan-e-khayal tha
ye her aik shaam diya jala k hawa'ooN se mera poochna
tum he kuch bata'oo k kia huwa, mera akhri jo sawal tha
faqat aik zarab-e-khafeef se mera aa'bgena bikhaR gaya
jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
rum-e-aho jesay garez-pa, ho khud aa'gahi k saRab maiN
wohi hijratooN ka faraib tha wohi zakhmi dil ka gaza'al tha*
[/QUOTE]
Salaam paglee jee
waaah kiyaa haseen ghazal hai
Itna behtareen intekhaab hai aapka
faqat aik zarab-e-khafeef se mera aa'bgena bikhaR gaya
jo bikhaR gaya tu pata chala k simitna kitna muhal tha
Rum-e-ahoo jesay gurez-pa, ho khud aa'gahi k saRab maiN
wohi hijratooN ka faraib tha wohi zakhm-i-dil ka gaza'al tha
Alfaz nahee hain Midah saraee k liyay
Ummeed hai mazeed issi meyaar ka kalaam aap ki taraf say paRhnay ko milega.
Shukriyaa
Sham
What a Ghazal...Amazing and Beautiful... Zabardast Choice...
Thanks a lot For sharing Paglee..