maiN aa’Ray tiRchay khayal soochooN
koi be-iRada kitaab likhooN
meRi tabiet pe munhisaR hai
maiN jis taRaha ka nisaab likhooN
ye meRay apnay mizaaj peR hai
azaab sochooN sawab likhooN
taveel taR hai safaR tumhaiN kia
maiN jee raha hooN magaR tumhaiN kia
magaR tumhaiN kia k tum tu kab se
meRay iRaday ganwa chukay ho
jala k saaray haroof apnay
meRi dua’yeiN bujha chukay ho
maiN raat OorooN k subha pahnoo
tum apni rasmiaN utha chukay ho
ye dil tu haad se guzaaR chuka hai
khizaa’N ka moasam thehaR chuka hai
[http://www.paklinks.com/gs/avatars/redidentity.gif?dateline=1262416195](http://www.paklinks.com/gs/members/redidentity.html)