Ishq aazaar aur Honey Moon Period

Ishq aaghaz main halki si khalish rakhta hai
baad main sainkRon aazar se lag jate hain

Halki si Khalish se kia matlab? Is it about Honey Moon Period of any relationship?

Kia Ishq waqai sirf aazar ka naam hai?

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

yeh to shair bataey ya aashiq

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

aap bhi jag beeti main se kuch share karen

Halki si khalish ka mtlb janny k liye dekhye drama har peer ki raat 8 bajy yakam july sy sirf HUM tv py

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

yakam july raat 8 bajy ka intezaar karein

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

:emmy: kon 30 episodes dekhe

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

Halki si khalish means..

Thora au rintezaar ker leytay tou aur achcha insan mil jaata

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

yeh to zindagi bhar ki khalish hoe na

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

hum to “kehtay hain jis ko ishq, khalal hay damagh ka” kay qa el hain sahab.. agarchay k is mozoo par sub say pasandeeda sher jonsa hay na ye wala hay..

intaha koi nahi hay ibtada honay k baad
ishq kia hay jaan lo gay mubtala honay k baad

acha hay na? :cool:

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

:welcome: to GS Lucid

Phir Yun Hua K Sawan Akhon Me Aa Base The

Phir Yun Hua K Jese Dil Bhi Tha Aablaa Sa

Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi

Ban Jayega Qayamat Ek Waqiya Zara Sa..

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

good shair.. per muhabbat aazaar kab aur kiyun bunti hai? jaan boojh kar log iss bala ko gale main kiyun latkate hain

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

subko lagta hai unki mohabbat unique hogi...aur bari probs nai aingi

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

yani her koi samajhta hai wo sab ko dekh le ga. everything will be controlled, uske baad lag pata jata hai jab asal game shroo hota hai.. muhabbat main aazar kahan se aata hai, muhabbat karne walon ki taraf se ya ird gird ke logon se?

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

Dono k taraf se...

Azaar means azziyat kind ? Right ?

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

yes aazaar (takleef deh)

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

Shukria nanhi shahzadi .. :slight_smile:

umdah ashaar hain, yahi kahain gay k is tarha to hota hay is tarha k kamoon main.. :frowning:

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

ye khalish nahin hawas lag rahi hai.. kinda looser attitude

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

itnay mushkil mushkil sawal :frowning: pehlay khameera e gao zabaan ambari jawahir daar jesay kisi muqawwee e dil o damagh ki char chay botlain khatm karnay dain, phir shayad kuch jawab day sakoon.. :slight_smile:

muhabbat shayad aazar tab banna shro hoti hay jab umeedain poori na hoon aur andazay ghalat sabit honay lagain.. aur logon k paas giraftar e bala honay k liay apni apni wajoohat hoa karti hain.. koi shoqiya hojata hay to koi ittafaqiya, kaheen majboori mubtala e ishq karwa deti hay to kisi ko hadsaati taur par is tofan e bala khaiz ki mojain nigal leti hain.. kisi ka khameer he ishq k aatay say gundha hota hay to koi dosron ki dekha kekhi is rastay par chal parhta hay.. gharz ye kay jitnay munh utni batain aur jitnay aashiq utnay asbaab..

umeed hay k aap ki uljhan main do char kilo ka izafa hogaya hoga.. aur yahi mera maqsad tha .. :devil:

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

main to aap ki Urdu ki ravani main beh gaya :salute: maza aa gaya.. aisa laga apni likhi hui diary padh raha hoon :hehe:

baqi sab theek ye bataiye majboori main ishq main kaise mubtala ho jata hai…

ye iss shair se koi connection hai?

Kuch ishq tha kuch majboori thi so maine jeevan waar diya
main kaisa zinda dil aadmi tha ek shakhs ne mujhko maar diya

Re: Ishq aazaar aur Honey Moon Period

:lajawab:

:hayaa: