boht shukria janab.. aap ki diary ya diaries internet par dastyab hain to ata pata inayat ho takay banda b mustafeed hosakay…
majboori main ishq kesay hosakta hay.. hmm. shayad aisay bhi kay ek fareeq ibtada main kisi lateef jazbay say aashna na ho aur is kefiat ko barqarar rakhnay ka mutamanni bhi ho lekin bil aakhir dosray ki lagan aur musalal koshish k samnay hatyaar dalnay par majboor hojae… (jesa k aksar hindustani filmon main dikhaya jata hay.. misal k taur par “teray naam” ko pesh kia jasakta hay.. :D) aur ye to sirf ek manzar naama hay.. aur b kai majboriyan hosakti hain.. kabhi fursat main ghor karnay par samajh aai to gosh guzaar kardoon ga..
waise ek mazarnama majboori ke ishq ka mere zehn main aa raha hai.. Cousin marriages. Alla Ammi main to unhe apne Bhai samjhti hoon.. Abba wo to meri behnon jaisi hai.. and then they live happily ever after with a dozen children
ek darjan thorhay ziada hain bhai… nisf darjan say bhi baat achi tarha samajh aa rahi hay lekin jahan tak mozoo ka talluq hay, rishta e azdwaaj main bandh jana aur rehmat e khudawandi say kaseer ul ayaal hojana daleel nahi k zojain k mabain yaqeenun ishq o muhabbat ka b silsila hay.. hain ji..
dozen se aazar ki sahi manzar kashi ho rahi thi, iss liye samne lae, warna khudara hamara behbood e abadi walon ko chiRane ka koi irada nahin tha.
aap baja farma rahe hain.. kabhi kabhar ek hi chat ke neeche rehne wale bhi ajnabi hote hain.. rishton main sirf majbooriyon ki khatir bandhe huwe.. pehle Maa baap ki laaj ka swaal, phir bachon ka mustqabil aur hamare muashre ka farsooda jumla ‘log kiya kahen ge’.
samaaj ka khof bhi rishton main aazaar ka sabab bun jata hai