Answer to your last question is very simple just keep your eyes close that way you won’t see soooooooooooooooooooo many muslims are smoking. By being a muslim I saw more more gorays smoke. Ok Whoever smoke is stupid (no offense). How and why they waste their money and body and make themselves close to suffer from it’s effect or death AND GAIN NOTHING. Paison aur sayhat ko dhuon main urana.
First Maqrooh naheen MAKROOH word hai.
Makrooh hai kay haram mujhay naheen maloom na koi aisa fatwa suna hai.
Agar sochoon to jaan ko marnay wala kaam karna to mana hai so mana ho sakta hai. Aisay kaam jis say jaan jaanay ka khatra ho un say parhaiz karna chahiaay.
Paisay kharch hotay hain khuwah makhaah kay yani fazool kharchi. Again. Fazool kharchi mana hai na haram hai na makrooh.
Haan agar us noshi e sigrate ki wajah say jaan chali jaay to wo khiudkushi ho gi aur khudkushi haram hai. Yaani jaan boojh kar cigret peena aur jaan say haath dho baithna.
Laikin ziadatar martay naheen cigret noshi say. Haan sirf wo jo bohat ziada smoking kartay hain yani Chain Smoker.
Mera bus chalay to saray charsion ko jail main bund kar doon taa waqt kay wo tark e talluq e noshi e cigret na kar lain.
Mujhay saamajh naheen aati kay kioon aksaar posteron ko sirf musalmaan ya Pakistani hi kioon burai kartay huway sub say ziada nazar atay hain jubkay jitni bhi dunia main burai hai agar unko karnay walon ka shumar kia jaay to her burai main KUFFAR musalmanon ko bohat peechay chor dain gay.
Waisay sawal yay likha jaa sakta tha kioon aksar musalman cigret peetay hain bajaaay iskay kay sooooooooo many pay itna zor dia jaata.