mere maHboob shaa’ir janaab e AsGhar GonDvii ne ek azeem shaa’ir kii Ghazal kii tazmeen farmaayii thii. maiN donoN GhazloN ka matl’a darj kartaa huN aur aapko yeh bataanaa hai k pahlaa she’r kis zabaan kaa hai…Faarsii yaa Urdu?
ek ustaad shaa’ir kaa she’r:
hazaar jaama_darii, sad_hazaar baKhiya_garii
tamaam shorish o tamkiiN nisaar-e-be_Khabarii
AsGhar GonDvii kaa she’r:
sukoon-e-shorish-e-pinhaaN hai shoGhl-e-jaama_darii
qaraar-e-seena-e-sozaaN hai naala-e-saHarii**