even if she is badkidhar as some one mentioned as a valid excuse for hitting , why get your hands dirty ... just ditch her man !
kuch bhooT lattoN se be nahii mantay haiN !
Totally agree with you.
Laikin baaz sudhar bhi jatain hain laaton say.
Wo bhoot jo laaton say bhi na sudhrain phir unkay liaay bhi to quran nain kaha hai akhri hul 3 * talaq.
the lady i'm talking about is elderly n this was her second marriage.She has grown up kids n though kids r on her side their inlaws r not.
Waisay to us lady kay liaay afsos ki baat hai. Laikin khushi ki baat hai kay us kay buchchay uskay saath hain. Zahir hai wo sub zulm daikhtay hain to samjhtain hain Zalim kaun aur mazloom kon.
Here is a true story.
Aik husband apni biwi ko ko buri tareeqay say mara karta tha kay buchchay dar jatay thay saham jatay thay. Aik din to shohar nain mamooli si baat pay itna uskay sir pay itnay jootay maray kay wo aurat nidhal ho kar gir pary yani baith gai kay us say roka bhi na janay laga. Laikin us per bhi husband ko sabr naheen aya aur wo biwi kay sir pay jootay barsata raha, barsata raha aur wo maar khati rahi. Buchchay dar aur saham kar kharay tamasha daikhtay rahay bohat chotay jo thay.
Us din us aurat ki beti nain kaha "aap chor kioon naheen deteen inko. Kioon inkay saath rehteen hain" Aurat boli phir tum sub ko kon palay ga main to itna parhi likhi naheen kay tum sub ko paal sakoon. Main budkari naheen karna chahti tum logon ko palnay kay liaay.
Aurat kay parents doosray mulk main thay aur un say uska koi contact bhi naheen tha.
Isi mahol main buchchay baray huway. Aik beta jub sirf 12 ya 16 saal ka hi hoga kay aik din us nain apnay baap ka apni maan pay utha huwa haath pakar kar zor say dabaya aur kaha aaj kay baad meri maan per yay haath uthay to yay haath tor doon ga. Us din say us shaksh nain marna chor dia biwi ko.
Phir wo sirf chupkay chupkay galiaan raat ko baka karta tha wife ko Iskay ilawa biwi kay munh pay thook dena haath kabhi touch honay pay jhatak dena waghaira waghaira.
As a husband wife to na jaanay kub say naheen reh rahay thay.
Din bhar ghar naheen ata tha sirf raat ko ghar sonay ata tha.
Buchchon ko samajh aa gia tha baap to unka naheen maan aik seedhi saadhi aurat hai so jo karna hai unhon nain khud karna hai.
So baray buchchon nain na sirf khud parha aur chotay bhai bahnon ko bhi parhaya. Aaj masha Allah sub aik say aik position pay hain.
Yay sari story sunanay ka maqsad yay hai kay.
Phir baray larkay nain buchpun main socha tha aur kaha tha kay hum sub bahar nikal jaain gay koi bhi yahan naheen rahay ga so Allah nain uski muraad poori ki aur aik aik kar kay chund buchchay bahar nikal gaay Maan baap aur chota beta reh gaay.
Baap choonkay baray betay say darta tha wo jub chala gia to us nain zulm o situm kay pahar tor diaay wife pay aur kahta raha kay yahan say chali jao betay kay paas.
Aur betay say paisay manta tha kay bahar say kama kar mujhay bhaijay bhai bahnon nain kaha us betay ko parhnay kay paisay diaay naheen us nain khud kama kar parha ub wo paisay kis baat kay baap ko day ga. Jub kay baap achcha khasa kamata tha aur apnay sub rishtaydaron aur ghairon pay lutata tha.
To baap nain apni wife ko kaha tum yahan say chali jao wo naheen gai to zulm say uska bura haal kar dia to wahan pay maujood buchchon nain zabardasti apni maan ko bhaija kay unka marnay ka haal ho gia tha jubkay bara beta kub say apnay paas bula raha tha kay meray paas aa jain to wo kahteen theenkay jub sari zindagi jootay kha kar guzar gai ub akhri waqt bhi aisay hi guzar jaanay do.
So maan baray betay kay pass ponhach gai aur us nain kafi hud tuk khiaal rakha apni maan ka sub buchon nain bhi jitna ho saka.
Sub loag wife ki itni izzat kartay thay unkay undaaz ki wajah say aur akhir kar wo aik din is dunia e fani say kooch kar gain.
Wo namaaz rozay main sirf lug gaeen theen so is zulm ka to Allah insha Allah unko bahtareen sila day ga. Laikin Allah ki ibadat main lugnay ki wajah say unhon nain apnay iteqaal ka khuwaab pehlay hi daikh lia tha aur buchchon ko bata dia tha. To un kay baray larkay nain poocha kay aap kia karna chahteen hain.
Aurat nain kaha main umra karna chahti hoon aur akhri baar tumharay abbu say milna chahteen hoon. So beta unko umra karwanay aur baap say milanay la gaya. Haj to wo pehlay kar chukeen theen aur unkay pass aur hajj karnay ka time naheen tha.
Phir kuch arsa baad unka inteqaal ho gia.
Baray betay ko bohat duaain deteen theen kay Allah tujhay itna ooncha karay kay dunia qadam choomain. Masha Allah aaj wo beta aala ohday pay hai aur khoob taraqqi kar raha hai.
Aap loag hayrat karo gay kay wo shuksh intehai parha likha aur numaya position hasil karnay wala tha.
So
Buchchay baray hain to wo rakhain apnay paas apni maan ko. Nikaal lay is umr main zulm say apni maan ko aur her tarha say khiaal rakhay. Zaroori naheen kay talaq lay. Buchchon kay saath rehna shuru kar day.
Allah her musalman ko taleem kay saath saath aql o danish day.
Wo aadmi itna bura naheen tha us kay bhai bahan us ko lootnay kay liaay bahkatay aur jadoo tonay karwatay thay us par.