Iqtibas

Re: Iqtibas

ok here u go ,

apnee izzat-e-nafs ko bachaana hay to hamesha yaad rakho …apnay dostoon kay qareeb us wat aoo jub unhain tumhaare zaroorat ho

or jub tum dekho k koi or wujood un ki tanhaiyan baantnay k ley aa chuka to bohat khamoshee say manzar say ghaaib ho jaao

agar tumhara hona us k ley aham ho ga to woh tumhare kaame jaan lay ga

werna tum samjh laina .. tum kissi k ley itnay aham nahi thay k tumhain roka jata ya soocha jata !

tumharay dil main palnay walay jazbaat sirf tumharay hain ..un ki qeemat tum jaantay ho

zaban per laao gay to woh sirf logooN k ley ik dastaan hoon gee. jis ko sun ker hans saktay hain , mazaq ura saktay hain , ya khamoshee say sun saktay hain

lakin samjh nahi saktay

dil main uter nahi saktay !

muhabbatain wohee zinda raheen jo khamoosh raheen

jo bayan ho gayee woh moozo-e-Aam ho gayeen !

(pg ki kitaab Un kahee baatoon say makhooz )