Iqtibas

Re: Iqtibas

haN baba, maiN ne kab sadaaqaat kaa darja kam kiyaa…maiN ne to bas yeh kahaa thaa k farz sirf zakaat hai aur aap sadaqaat jo bhii chaaheN deN magar sadaqa skill sikhaanaa bhii hai…sadaqa insaan ke taqwe kii baat hai. iqtibaas paRh kar mujhe yeh ta’assur milaa k musannif kah rahaa hai k agar ham ne apnii tanKhowaah meN se sadaqa na kiyaa to Allah na kare ham gunaah ke murtakib huye…

…tarGheeb/talqeen kii Had tak to Thek hai aisa kahnaa magar musannif ko aHtiyaat se yeh baat kahnii thii taa k qare’iin ko muGhaalta na ho aur vo Ghair farz ko farz na samajh baiTheN.