Intikhab with StyloBabe

Re: Intikhab with StyloBabe

Wafa ruswa nahi karna, suno aisa nahi karna
main pehlay hi akayla hun mujhay tanha nahi karna
judai bhe agar ai tau dil chota nahi karna
bohat masroof hojana mujhay socha nahi karna
bharosa bhe zaroori nahi mager sab a nahi karna
muqaddar phir muqaddar hai kabhe dawa nahi karna
jo likha hai zaroor hoga kabhe shikwa nahi karna
meri takmeel tum se hai mujhay adah nahi karna
haqeeqat hai milan apna ise sapna nahi karna
humain tum yaad rahtay ho
humain tum khud sai juda nahi karna.....