shukriaaaa ![]()
re: Independence Day Celebration: August 11-17: Poetry Contest Closed
Koi bat nahi yeh tu mera farz tha 4th position tumhari hoi:jhanda:
re: Independence Day Celebration: August 11-17: Poetry Contest Closed
Beautiful SHabo every 1 has nice selection :)
NAZAR-E-WATAN
Ik Khawab Safar Main Hai
Phooloun Main Nahee Utra
Ju Rang Shajar Main Hai
Rehmat ka Ishara Hai
Iss Ghoor Andhairay Main
Umeed Ka Tara Hai
Phir Baat Nahee Chaltii
Ju Paair Say Kutt Jaiy
Woh Shakh Nahee Phaltii
Abh Farz Hifazat Hai
Yeh Pak Watan Saathi
Allah Key Amanat Hai
Ik Bagh Banay Aisa
Hou Khakh Kay Takhtay Par
Koi Oor Na Uss Jaisa
Hum Taj Yeh Heera Hai
Duniya Kay Samandar Main
Yek Mulk Jazeera Hai
Baghoun Main Khilain Kaliyaan
Rahain Rooz Qiyamat Tak
Abad Tairee Galiyaan......................"Ameen"
Khaitoun Main Siatary Hain
Her Shakh Key Ankhoun Main
Armaan Hamaray Hain
Taqdeer Nahee Bantii
Jub Khawab Adhoora Hou
Tabeer Nahee Bantii
Yeh Khawab Rahay Zinda
Hai Aaj Bhee Yeh Rooshan
Kal Oor Hou Tabinda......................."Ameen"
Gulzaar Bana Dain Gay
Iss Chand Zameen Ku Hum
Tarooun Say Saja Dain Gay
Pehchaan Humarii Hai
Yeh Pak Zameen Yaroo
Jund Jaan Humarii Hai
Kirnoun Kay Isharay Hain
Yeh Chand Hamara Hai
Hum Iss Kay Siataray Hain
Ik Chand, Ik Tara Hai
Lehrata Howa Parchum
Aailaan Humara Hai
Tameer Key Soorat Hai
Iss Dais Ka Hur Bacha
Tabeer Key Soorat Hai