Improve Urdu Vocabulary

Re: Improve Urdu Vocabulary

kusht-o-khoo tarkeeb is also used in Urdu for the bloodshed, i think

Re: Improve Urdu Vocabulary

is verse ka kya matlab hai?

jalvaa az bas keh taqaaza-e-nigaah kartaa hai
jauhar-e-aaiinaa bhii chaahe hai mizgaan honaa

AN OSCAR FOR THE CORRECT ENGLISH OR URDU TRANSLATION OF
THIS EVER-FAMOUS COUPLET;


"QADR-e-JOHAR...SHAH BIDANNAT...YA BIDANNAT JOHRI"**

Johar ki qaddar ya johri jaanay ya uska maalik.

Re: Improve Urdu Vocabulary

no!!
"heery ki qader johri jany"

Re: Improve Urdu Vocabulary

Shah = King so King is must in above sentence , just guess :smokin:

ACTUALLY YE LIKHA TOU YUN JAATA HAI;


"QADR-e-JOHAR...SHAH BIDANNAT..YA...BIDANNAT JOHRI"


***M
A
G
G
A
R

PARRHA YUN JATA HAI;***


"QADAR-E-JAUHAR....SHEH BIDANNAT...YA...BIDANNAT-e-JAWAHIR"


It means/mutlubb;


***"HEERAY KI QADARR SIRF BADSHAH KARSAKTA HAI YA JAUHARI"

"DIAMOND CAN ONLY BE ASSESED OF ITS VALUE BY AN EMPEROR
OF A JEWELLER"***


Ye jum'laa....aksar PTV ke purane dramoun mein bola gaya hai!
Zahoor Bhai (Allah Bakhshay) said it a few times...in QHAKHAN E AZAM
(GENGHIS KHAN) TV SERIAL...


Khush rahein....

Re: Improve Urdu Vocabulary

Arjay Uncle King walai guess par mera inaam hona chaiyai :dhimpak:

Yahan aaiinaa se murad Aaiina-e-jalbi nahii , aaiina foulaaD hai ! chunkay jab Fouladdiii aaiina ko SaaQeel kia jata hai tu is mein kahaT par'jatay hain .. ek ek kahaT , baal se mushaba hota hai , lehaza in'hain MizGaaN se tashbee de gaee hai !

shair ka matlab kuch yun howa kay

Mehboob ka jalwa-e-husaN hukmaaN keh'raha hai , kay mujay daikoo kyun kay mein or serif mein hee deed k laa'iq hooN ... yea sun kar fouladiii aaiinay k JauhaRoon pe be ayse khafii'yat tarii hoGae , kay woh aainna ki ankh pe mizgaaN bana chahtay hain , takay Husan ki deed se laazat pasakain or us ka taqa'za-e-deed pooRa karsakain

wazay rahay k yea husan ki taraf se taqaza hai , sawal nahiii !

RJ se maango .. he should give you one

I promised an OSCAR !


So here you are…

Khush Rahein…

PERVEEN SHAKIR....

**sundar komal sapnon kii baaraat guzar gaii jaanaan.... **
**sundar komal sapnon kii baaraat guzar gaii jaanaan
dhuup aankhon tak aa pahunchii hai raat guzar gaii jaanaan *
*
**bhor samay tak jis ne hamen baaham ulajhaaye rakhaa
vo albelii resham jaisii baat guzar gaii jaanaan *
*
**sadaa kii dekhii raat hamen is baar milii to chup ke se
Khaalii haath pe rakh ke kyaa saughaat guzar gaii jaanaan
kis konpal kii aas men ab tak vaise hii sarsabz ho tum
ab to dhuup kaa mausam hai barsaat guzar gaii jaanaan
log na jaane kin raaton kii muuraaden maangaa karte hain
apanii raat to vo jo tere saath guzar gaii jaanaan.. *
*

You are great :dhimpak:

:lajawab:

I do not know if that is really a word.

It might be Kushtagaan-e-Shab? Which may mean Raat ke Shaheed/murdered at night.

Yes. K Not Q.

I don't think its Kh. Its just K.

Thanks for correcting. I had not read it for so long. :slight_smile:

Wah wah!

Aap ne taqaza ka lafz bilkul Sahi Istemaal kia.

Tammanna/khwahish Bhi ho sakte hain Magar taqaaza behtar hai.