Re: imagine if the chinese were ashamed of themselves.
**Mumbai aur Bombay urdu zabaan ke alfaaz nahiiN…so iskii misaal be-jaa hai.
“so” Hindi kaa lafz hai aur aajkaa nahiiN bal k zamana-e-qadeem kaa sadiyoN puraanaa hai…yeh lafz tab bhii musta’mil thaa jab urdu ko reKhta kahte the. ****Wali Muhammad Wali (1667–1707) ****ne is lafz kii reKhta haiyat ko apne ek she’r men yuN musta’mil kiyaa thaa:
tujh lab kii sifat la’l-e-BadaKhshaaN, “soN” [so] kahuuNgaa!
jaadoo haiN tere nai’n GhazaalaaN, “soN” [so] kahuuNgaa!!!****
reKhta ka lafz “soN” urdu meN aa kar “so” ho gayaa.
jaisa k NaabiGh saaHib ne farmaayaa…aala [aalaat…ism-e-jam’a] TOOL ko kahte haiN na k machine…****'allaamah Iqbal ne apne ek she’r meN lafz “aalaat-e-machini” use kiyaa thaa.**