Ik Sher Ik Mehfil IV

Asalam U Alaikum ! How are you all ? Hope fine shine (kabhi khud bhi bata dia karo yaar :frowning: ! I am fine shine by the blessings of ALLAH !
Aaj kafi din baad aik sher aik mehfil mein haazir hon umeed hai aap bohat achay ashaar aur apni feelings share karein ge !

Maanga Hai Tujhe RAB Se Keh Ik Zid Si Hai Kabse
** Daikhon to Merii Duaaon Mein Asar Hai K Nahii**


Duaaon se related baatein aur ashaar yehi hai aaj ki mehfil !


BeIng lOnely !!! SId !!!

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Nice :k:

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Maray sath tum bhi dua karo yun kisi k haq mein bura na ho
Kahin aur hoo naa yeh hadsaa koi rastay mein juda na ho


issi ehtiyaat mein mein raha,issi ehtiyaat mein woh raha
Woh kahan kahan meray sath hai kisi aur ko ye khabar na ho

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

today you seems a bit sad :teary2:

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV



Mere Khuda Meri Puri Yeh Aarzu Ho Jaye
Zuban K Hilnay Se Pehle Guftagu Ho Jaye


Meri Wafaaon K Haasil Samar Kuch Aaisay Hon
Uska Khayal Karon Aur Woh Ru-baru Ho jaye

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Udasiyon mein zaat hai kabhi kabhi mila karo
baree kathin hayaat hai kabhi kabhi mila karo
:slight_smile: :slight_smile: :slight_smile:
i m not sad!!!
i m ok…

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Its good that you are ok :)

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Tum Huay Duur To Yeh Raaz Khula
Ab Hamein Zindagi Se Pyaar Nahi

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

aik darwish nay DUA day kar
shola bharka dya hawa day kar

tum sukon say ho mehw-e-khwaab kaha
meri ankhon ko ratjaga dekar

hum kisi din jo maang lain tumko
khud tumhara he wasta dekar

phir na agay nikal sakogay kabhi
peechay walon ko rasta dekar

tum karogay wohi jo dil main hai
fayda tumko koi mashwara dekar

haar baithay hain hosla ab to
aur logo ko hosla dekar

shayad ab marhala DUA ka hai
chara gar thak gayay dawa dekar

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Wah sahab kya kehnay :D haar baithay hain ab to aur ppl ko hausla de kar wah :)

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV



Mangta hoon Duaa jab Tu Yaad aata hai
K Judai Mere Pyaar ka anjaam na ho jaye


Sochta hoon, Darta hoon Aksar Tanhai mai
***Us k Dil mai kisi aur ka Maqam na ho jaye ***
***:teary2:
***:teary2:
:teary2:


Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

hadsa hai bara sakht, jan dua karna
baraq giray to sir-e-ashyan, dua karna

likhta rahon lahoo ko roshnayi kar k
jeeta rahay tera ghazalkhwan, dua karna

nikali jo neher farhad nay koi ajab nahi
hum bhi karain koi aisa paiman, dua karna

jin ko dekh kar to bhi hojayay abdeeda
chor jaon kuch aisay nishaan, dua karna

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Meray liay tou harf-e-dua hoo gaya who shaks
Saray dukhon ki jaisay dawaa ho gaya woh shaks

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

suntay hein k mil jaati hai har cheez dua se
ek roz tumhen maang k dekhein gay Khuda se

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

sirf ik din maangnay se nahi milta :teary2:

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

par kabhi kabhi yuun bhi hota hai :


***Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange


Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

*MY ALL TIME FAVOURITE SHER,,,

**Hey tere gird meyree duaaon ka daiyra
Mai teyree aafiat ki mubarak lakeer hoon


Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

senkrdon baar mil chukay hotay
aap miltay agar dua se hi :(

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

Maan lay ab bhi maree jaan-e-adaa dard na chun
Kaam atee nahin phir koi duaa dard na chun

ek bhi dard bhi kum na ho ga kaee sadyon mein
ab bhi kahta hon tujhay waqt bacha dard na chun

Re: Ik Sher Ik Mehfil IV

wah! :k: