ik kahaani !

ik badshaah ko ik lerki pasand agyee

us lerki ka baap sunaar tha

badshah nay sunaar ko darbaar main bulaaya

4 din guzarnay kay bad bhi sunaar badshah k derbaar main na aya to badshah nay

sonaar ko giriftaar kernay k ley sipaahe bhejay ..jub woh sunaar k gher pohnchay to dekha k

gher per taala laga hoa hay…baadshah nay hukam diya kay sonaar ko kaheen say bhi dhoond ker laao

sipaahion nay sunaar ko her jagha dhoonda, lakin woh un ko kaheen nahi milla

aur sipaahion ko sunaar ko dhoondnay main sara waqt aysay berbaad hoa

jaisa k

app ka is thread ko perhnay main hoa !

chai

moral of the story > neend na aye to kahaanian likhna shuro ker do !

Re: ik kahaani !

ewww. wot is dis.

Re: ik kahaani !

its called *waqt barbaad kernay ka sahee tareeqa *

Re: ik kahaani !

Jee nah.i moral of the story yeah he ke agar aap puraanay zamanay main rehtay hain, tou behtar hai ke badsoorat aurat se shadi karain taa ke buchchay bhee badsoorat paida hon. Ko bhee peeche nahi paRe gaa.

Re: ik kahaani !

app buhat seeday hain

Re: ik kahaani !

TLK > baadshah ko peechay pernay ki ijaazat hote hay ...u didnt read about bilawal weds hina rabbani : P

STA > lakin app bohat tairhay hain

Re: ik kahaani !

:barbie: ilzam.

Re: ik kahaani !

^ 2006 kay user ko main kion nahi jaantee ..mujhay app per shak hay

Re: ik kahaani !

smack: oos waqt kyun nahi bataya jab hum GS ke baadshah thay

Re: ik kahaani !

badshah to nahi thay shaid rehman malik wale post thee to us k dinner invitiation to katreena kaif nay reject ker diya tha..lehaza woh to mazboot post nahi lagtee : P

Re: ik kahaani !

P_G: kiyon kay main silent reader tha tab.

Re: ik kahaani !

P-G ko bohut khabar hai Rehman Malik kee.

khair tou hai?

Re: ik kahaani !

p-g kon hai. app ki buhat jan pehchan lagti hai. badshao :faizy:

Re: ik kahaani !

^

oh …i…c

Re: ik kahaani !

P-G tou mujh se bhi purani member hain. 2007/2008 main hum inn ko Altaf bhai se chertay thay. Bus oos waqt se dua salam ho ga’ee. Hum chote hain, in ko salam kerte hain, yeah baree hain tou hum ko dua detee hain

Re: ik kahaani !

mujhay sub khabar hotee hay ...khairiyat k saath ...

or app kion baykhabar hain ..khair hay ?

Re: ik kahaani !

oh acha. ager app chotay hain to phir ham to inkay bilkul bachon ki tarah hongay.

salam pg auntie.

Re: ik kahaani !

Is Kahani Ka koi Dosra Hisa Bhee aye Ga?

Nahee tu Kia Hum Mukamul Ker dain?

Ijazat Hai

Re: ik kahaani !

app ka old version hum say bhi purana hay us ka record MUZNA say na niklwa lain : P

Re: ik kahaani !

ham ko inkay tamam version pata hain. :barbie: