Re: If you had not been born in a Muslim home
Duniya Main Amno Skoon Kyun Nahin?
aaj se 1400 saal pehle quran ne bataa diya tha keh duniya main amno skoon kyun nahin hai. na sirf balkeh yeh bhi bataaya tha ke quran khudaa ki taraf se aakhri kitaab hai aur ise pehle bahot si kitaaben aur paighambar aaye the kitaabun ke saath aur un kitaabun main bhi deen amno slaamti qaaim karna hi tha.
afsos ka maqaam hai ke aaj tak insaanu ne khudayee baatun ki taraf us tarah tawaju hi nahin di jaisi ke deni chahiye thi.
kitaabun main hamesha yeh bataaya gayaa tha keh sab kharaabiyan insaani maashrun main isi liye hen kyunkeh insaan aik doosre se apna rishta saheeh tarah se pehchaanane ki koshish hi nahin karte. isi liye na woh aapas main achhi tarah se rishte qaaim karne ki salahiyat khud main peda karte hen aur na rishtun ko achhi tarah se qaaim rakh sakte hen.
isi liye khudayee kitaabun main insaani haqooq aur zimmadariyan batayee gayin ta keh woh in ko bunyaad banaa kar aapas main achhe rishte qaim karne ki koshish karen jis se achhe insaani maashre wajood main aayen.
jab tak ham log quran ko us ke bataaye huwe maqsad ke liye istemaal nahin karen ge insaani duniya ki yahee haalat rehe gi jo sadyun se chali aa rahee hai aur yun hi chalti jaaye gi.
insaanu ki kuchh bunyaadi zaroorten hen jin ko zindagi ke lawaazmaat kehte hen ke un ko samjhe bagher aur un ko saheeh tarah se poora kiye bagher achha insaani maashra qaaim ho hi nahin sakta. masaln saans lena, khaana peena, jinsi zaroorat ka poora karna, rehne ke liye jaga pehnane ke liye kapde waghera waghera.
agar ham ghor karen to hamare sab jaghde aapas main inhi baatun par hote hen aur yun ham aik doosre ki zindagi behtar banaane ke bajaaye bagaadte chale jaate hen.
ham ko khud bhi ehsaas nahin hota yeh ham aik doosre ke saath kia kar rehe hen aur is ka masharti etbaar si kis qadar nuqsaan ho ga.
bas yahee insaanu main bunyadi masla hai aur isi ka hal quran pesh karta hai jis ko ham log aik taraf rakh dete hen aur samjhte hen hamaare namaaz roze, hajj, zakaat ke masle islam hen baaqi kuchh nahin.
ham yeh jaanane ki koshish hi nahin karte aakir quran main salaat qaaim karne ka hokam kis liye diya gayaa hai, aur zakaat kia cheez hai yaa sawm kis cheez ka naam aur ramzaan kia hota hai. yaa hajj ke kia mani hen.
yahee waja hai jin cheezun ko ham salaat, hajj, zakaat, sawm waghera samajhte hen un par is qdar zor dene se bhi ham wahin ke wahin hen.
ham ne mehz befaaida rasoomaat ko deen banaa liya hai aur asal deen ki rooh ko uthaa kar apni zindagyun se bahir phank diya hai.
baithe hen massalun par duayen maage jaa rehe jaise Allah hamare kisi nokar ka naam hai jis ko ham jo hukam karen ge woh kar de ga. bahot afsos hota hai is ummat aur baaqi insaniyat ka haal dekh kar jo din badin bad se badtar hota ja raha hai.
is baat ka ehsaas karne ki sakht zaroorat hai ke islam deen hai mazhab nahin hai ke pooja paat se kaam ho jaaye ya ham log kamyaab ho jaaye. kaam karne se hota hai aur sirf wahee kaam hota hai jo kiya jaaye aur sirf wahee maqsad poora hota hai jis ko poora karne ke liye kaam kiya jaaye. yahee khudayee nizaamo qanoon ka taqaaza hai is jahanao jahan main. ham gandam boyen ge to gandam hi kaaten ge kuchh aur nahin.
isi liye agar ham duniya aur khud apni zindagyun main amno skoon chahte hen to is maqsad ko paane ke liye hi ham ko kaam bhi karna ho ga. is ka matlab yeh hai ham ko sab se pehle yeh samajhna ho ga ham inaanu ke darmiyaan ikhtalafaat kyun hen aur un ko door kaise kiya jaaye takeh hamaare darmyaan se ladayee jhagde khatam hun aur aapas main bhai chaara qaaim ho.
jab tak ham in baatun ka ehsaas nahin karen ge ham amno skoon se reh hi nahin sakte. agar reh sakte to khudaa ko hamen yeh baaten bataane ki zaroorat hi na thi. kia zaroorat thi khudaa ko hamen islami nizaam qaaim karne ko kehne ki? kia zaroorat thi ham ko yeh bataane ki keh aapas main aik doosre par zulam na karo, aik doosre ke haqooq na maaro, aik doosre se mutalqa zimmadariyan poori karo, aik doose ke madadgar ban kar roho, aapas main bhai chaara qaaim karo. taraqi karo aur khushhaali se zindagi basar karo, chori chakaari se baaz roho? jhoot bol kar aapas main aik doosre ko dagha mat do,. aapas main gheebat mat karo waghera waghera? in sab baatun ka taluq sirf aur sirf insaani maashre se hai. bure kaam karen ge to hamaara insaani maashra barbaad ho ga aur ham amno skon se mehroom hun ge aur agar achhe kaam karen ge to ise hamaara maashra achha ho ga jise khud hamaari zindagyun main hi amno skoon ho ga. isi liye burayee woh kaam hai jo maashre par bura asar daale aur achhayee woh kaam hai jo maashre par achha asar daale. isi ka ajar aakhirat main mile ga na ke betuki aur befaaida kaamu ka jin ka ka duniya main insaanu ko kuchh faaida na ho.
isi liye islam ka matlab is ke siqaa kuchh aur nahin ho sakta keh Allah ne ham ko apni duniya ko sanwaarne ke liye hukam diya hai khud hamaare hi faaide ke liye. Allah ko na hamare bura karne se kuchh nuqsaan pohnchta hai na hamare kuchh achha karne se faaida.
bas khudaa ne jaisa kaha us ko saheeh tarah se samajh kar waisa karne ko khudaa ki ibaadat kehte hen aur aise log hi khudaa ke achhe bande hen.
Quran main amano salaamti ka liye kaam karne waalun ko mumin kaha gayaa jo logoon main sulah karwaa kar aman qaaim karne ki koshish main lage rehte hen. aamanoo aur aamilussaalihaat ke lafzun par khoob karen baat samajh main aa jaaye gi.