Re: i even dunno how to make egg:(
**yeh bahot hii mash’hoor mazahiya aur tanziya shaa’ir Akbar Allahabadii ke ek she’r kaa misr’a hai jiskaa matlab yeh k zindagii aisii hai k ghar var nahiiN hai, khaanaa restaurant meN khaate haiN aur saRkoN pe rahte haiN aur jab maut kaa waqt aataa hai to hospital meN jaa kar mar jaate haiN [hamaare Indo/Pak meN aam taur se log apne apne gharoN meN marte haiN yaa marne ke ba’d maiyat ghar laayii jaaii jaatii hai…west meN to hopstital men hii sab marte haiN ziyaada tar aur vahiiN se seedha Funeral Home aur phir Cemetery]
GhareeboN aur be-hunjaar/be-hunar logoN kaa aisii life style hotii ahi
ab samajh meN aa gayaa?**