Aik Nazm,
Koi Muft Main Le Ya Mol Karay
Jo Jee Main Aye Dhol Karay
Hum Baantain Chand Sitaray Pia
Hum Chahat Ke Wanjaray Pia
Koi Bhalay Kisi Se Pyar Karay
Koi Nafrat Ka Izhaar Karay
Koi Jeetay Ya Koi Haaray Pia
Hum Chahat Ke Wanjaray Pia
Koi Khush Ho Ke Inkaar Karay
Koi Chheenay Ya Beopaar Karay
Koi Jhirkay Ya Koi Maary Pia
Hum Chahat Ke Wanjaray Pia
Aankhon Main Ajab Si Mann Maani
Chehray Pe Bala Ki Veerani
Koi Samjhay Ager Ishaaray Pia
Hum Chahat Ke Wanjaray Pia
(Farhat Abbas Shah)
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards,
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
me ko pesend nehe ae boht moshkel he 
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
tou tum say pasand karvani kis nay hai 
kis nay kaha hai nanna sa damagh khapao ja k bubble aur toffee khao 
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
bheegi ager aap poem pe bhi comment ker deteen to nawazish hoti.. :$
MM.. bachay jee aap mushkil alfaaz likh do main hoon na translate kernay k leay :)
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
bohat velau ho aap :aq: woh kal parhi hi nahi abhi parhi hai
:k: maza aaya par k sounds like a song
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
Achi hai.. :k:
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
thnx alot bheegiyaad n Shumaisa

Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
sweet Reddu :)
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
Nice :k:
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
thnx JJW n Khan jee 
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
thanks for sharing, Ahmer.
nice nazm.
best,
Dushwari
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
thnx alot Dushwari jee :)
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
beautiful.. .
Re: Hum Chahat Ke Wanjaray Pia..
thanks alot heart hacker :)