Hilaal-e-Eid

Hilaal-e-Eid kee khushiyaaN
chehray par har ik shakhs kay
phel rahi haiN!

intezaar-e-eid maiN
tuloo-e-mehtaab kee muntazir
har ik chashm-e-baitaab hai!

mohabbat aaj uss shakhs ko bhee
chaand say ho gaie hai
kay jiss ko chaand
kee thaNdi chaaouN maiN
chaand kay daagh kaa nishtar
chubhtaa hai har lamhay dil maiN
aur nafrat chaand say
jiss ko az’li ho gaie hai!

kaisa alamiya hai kay
nafratouN kay sel-e-rawaaN maiN
munaafiqtouN kay behr-e-bay karaaN maiN
ik sharaaraa-e-mohabbat dikhla kar
ik din ki khushi manaa kar
louT jaye gaa woh
zindagi maiN apni waapis

yeh eid kee khushiyaaN!
kiya masnoo’ee haiN?
Muhabbat kaa libaadah
kiyaa itnaa hee tamaskhuranaa hai?
kay badaltay mausam maiN
jub libaas badal jatay haiN
Muhabbat bhee badal jaati hai?
insaan badal jaatay haiN?
dil badal jaatay haiN?
jo kissi kay liye aaj ik hilaal hai
woh kal ussi kay liye daagh-e-hilaal hai?

Jo haiN hilaal-e-eid kay hus’n par mar miTnay waalay
mehtaab-e-mukammal say nafrat unhaiN hai

jo na mukammal hai, woh laaiq-e-muhabbat?
jo takmeel paa gayaa, aankh kaa shahteer wohi hai :slight_smile:

:Anwaar:

:(

** kay badaltay mausam maiN
jub libaas badal jatay haiN
Muhabbat bhee badal jaati hai?
insaan badal jaatay haiN?
dil badal jaatay haiN?**

zaberdest:k: :k: :k:

bohet khoob…thx for sharing :hug:

:k:

humm lagta hay aaj ziyada ho gaii hay

agar ziadah ho jayaa karay tau baraa-e-mehrbaani aap post hee naa kiya karaiN naa kissi kay thread maiN..:k: ulTi seedhi haaNktay haiN nahiN tau aap:-) thanks:flower1:

Re: Hilaal-e-Eid

veryy nice :k:

Nice… :k:

Very Nice :k: :k:

humm
chalain jaisa aap munasib samjhain … hum to aap ki post ki baat kar rahay thay ..keh sooch ki gihraii lagta hay aaj kuch ziyada ho gaii hay. :confused:

lajawab:k::k:

bhai… aap kay “humm” ko naa paa kar tashweesh laahiq huvee thee kay aap kaa jawaab gehraa ho gayaa hai so i took it wrong.. sorry:) and thanks again:-)

AQ: :salam: meri urdu itni achi nahi hai kah sab kuch samajh sakoon..Lekin aap ki nazam main jitna samajh saki hoon..tou kahti hoon kah eid kay hawalay sey bohat achi nazm likhi hai :k: :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *
bhai... aap kay "humm" ko naa paa kar tashweesh laahiq huvee thee kay aap kaa jawaab gehraa ho gayaa hai so i took it wrong.. sorry:) and thanks again:-)
[/QUOTE]

hummm

on a 2nd thought
Hozoor app nay layQ e tashweesh jana .. Zara nawazi hay aap ki .. par Qibla Jaanay rakhii'ay ... aap tehray baray log, shair e gupshup, aap ko zaib nahi dayta mazrat karna Ujarr halon say ... rahi baat Thanks again ki to Sahab!, hum khak nasheen hum ahl e junooN .. Booj e kaasa e Esa uttha kar ji'ain gay kaisay.

Adab

Yaaaaarrr!!! AWESOME !

Jo haiN hilaal-e-eid kay hus'n par mar miTnay waalay
mehtaab-e-mukammal say nafrat unhaiN hai

jo na mukammal hai, woh laaiq-e-muhabbat?
jo takmeel paa gayaa, aankh kaa shahteer wohi hai

Zaberdast ...! qasam say!

:mudhosh:

OK OK.. ab mere urdu itni gaye ghuzri bhi nai ke samajh na aay… :snooty:

common anwar dun be sad okay… look at me.. main kahin say bhi udaas lagty haon…wo kehtay hian na.. watever happen.. it happens for the reason.. so please aisi udaaas poetry na likhain..

live for the day… and just look arround.. how everyone is happy so just be happy.. forget about bad ppls okay… and hey.. dun be rude mean or selfish just because ppls are.. u were sayin that in digi… :hoonh:

i must say its very nicely written.. u hav a talent kid.. insahallah agar mera apna risala hua to aap ki nazam ke saath aap ki tasweer ko front page par chapwaongi :smiley:

heheheheheheh aur saath main MOST wanted bhi likh daongi plussss jo shcks in ka pata batayee os ko 20,00000 rps inaaam :rotfl:

its beautiful

It’s beautiful AQ. Good work :k:

samajh to nahi aaya zyada :bummer:
par jitna aaya…utna bohat ache tha :slight_smile:
thanx for sharing…
wonderful piece of poetry :stuck_out_tongue:
keep it up :k: