Hilaal-e-Eid

Thank you all :flower1:

eid-e-saeed mubarak ho tanhaaiyouN kee raat hai aaj:)
chaand maiN ik khoobsoorati sii samaa gaiee thee aaj:)
dooor thaa laikin logouN kay dilouN maiN basaa thaa aaj
chaand kay akailay punn maiN logouN kaa saath thaa aaj
issi liye dooob gayaa khushi day kar woh phir aaj
ab jalay gaa ik um’r tukk apni tanhaaiyouN maiN har saanch :flower1:

–Anwaar

:k:

zabardast :k::k:

Thank u all:)

when i had posted this naz’m I literally wrote right in the Message Box .. it was like everything was just coming in a flow to me and i was just typing.. I think the reason was the occassion and then YaadaiN:)…

jub wajoohaat aur mawaqay mil jaayeN tau alfaaz apnaa raastaa khud dhoondh laitay haiN :hehe:

khair, the very moment i posted this, I had received a PM from someone asking me if i can upload it in my voice… I could not do it at that time and I am sorry to the person kay i could not …

EVEN it’s now irrelevent to post, but I adore the person who asked me to do it so here it is :flower1:

14786.hilal-e-eid_anwaar

bohat zabardast… :k:
aur haaN, awaaz bhi achi hai :stuck_out_tongue:

ahem ahem:D

very nice:k:

and awaz bhi ache hai :snooty: :stuck_out_tongue:

awww thanks i love it in ur voice :k: u sound like parahay likhay admi :halo: i wish i could talk like u :frowning:

u wish u could talk like a Aadmi:hehe:??? how cute sandooo:p

yeh So wat ? :halo:

wah very nice poem indeed

mujhy nahi pata tha kay ap bhi shair hain :)

:flower1:

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

14786.hilal-e-eid_anwaar
[/QUOTE]
Zabardast Anwaar! bohat hi khoob..maza aaya sun kay :)

Re: Hilaal-e-Eid

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

**
yeh eid kee khushiyaaN!
kiya masnoo'ee haiN?
Muhabbat kaa libaadah
kiyaa itnaa hee tamaskhuranaa hai?
kay badaltay mausam maiN
jub libaas badal jatay haiN
Muhabbat bhee badal jaati hai?
insaan badal jaatay haiN?
dil badal jaatay haiN?
jo kissi kay liye aaj ik hilaal hai
woh kal ussi kay liye daagh-e-hilaal hai?

jo na mukammal hai, woh laaiq-e-muhabbat?
jo takmeel paa gayaa, aankh kaa shahteer wohi hai :)
**

:Anwaar:
[/QUOTE]

bhut khoubsourt nzm ha aur aur baqol app kay kum sochtay hain ap ager asa ha tu app nay kasi liklh li :-)

kaisa alamiya hai kay
nafratouN kay sel-e-rawaaN maiN
munaafiqtouN kay behr-e-bay karaaN maiN
ik sharaaraa-e-mohabbat dikhla kar
ik din ki khushi manaa kar
louT jaye gaa woh
zindagi maiN apni waapis

Shyd jo chezin kum waqt k liye hoti hain un ki value ziyada hoti ha :(

thanks everyone:)

nikii: :p soch kar thoRi likhi thee :D.. yeh tau buss khud ba khud bantee challi gayee... alfaaz khud ba khud aik doosray say juRtay chalay gaye baghair kuch sochay:) dekho naa issi liye buss rawaaN hee rawaaN hay .. no beauty in it :~)

Re: Hilaal-e-Eid

[QUOTE]
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

yeh eid kee khushiyaaN!
kiya masnoo'ee haiN?
Muhabbat kaa libaadah
kiyaa itnaa hee tamaskhuranaa hai?
kay badaltay mausam maiN
jub libaas badal jatay haiN
Muhabbat bhee badal jaati hai?
insaan badal jaatay haiN?
dil badal jaatay haiN?
jo kissi kay liye aaj ik hilaal hai
woh kal ussi kay liye daagh-e-hilaal hai?

[/QUOTE]

Allah na karey Anwar Bhai, yeh peera per ker sab sey yahi ilfaz zuban per aayee or uss k baad likhtey howey khud ba khud Anwar Bhai likha gaya........ kiya main aap ko yeh rutba dey sakti hoon?

Re: Re: Hilaal-e-Eid

[QUOTE]
*Originally posted by she: *

Allah na karey Anwar Bhai, yeh peera per ker sab sey yahi ilfaz zuban per aayee or uss k baad likhtey howey khud ba khud Anwar Bhai likha gaya........ kiya main aap ko yeh rutba dey sakti hoon?
[/QUOTE]
:) .. u are very nice :) thanks a lot for reading it with such a deep thoughts that u even get to the point I was trying to reach at :-)

Thanks again...

:( sad and sweet, full of truth, I like it :) congrats

Thanks PD :)

Re: Hilaal-e-Eid

YaadaiN zehreeli hoti haiN :flower1:

Re: Hilaal-e-Eid

To be more proceise I would say… Kuch YaadaiN zehreeli hoti haiN… and Kuch KhushGawar bhi hoti hiaN…:slight_smile:

Have a Wodnerful Day Anwar Bhai… :flower1: