Amal
1
http://i52.tinypic.com/1fvfph.gif
**
Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahiN
merey naghmaat ko andaaz-e-nawa yaad nahiN
hum ney jin ke leeye raahoN meiN bichaaya tha lahu
hum sey kehtey heiN wohi ehd-e-wafa yaad nahiN
zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaati hey
jaaney kis jurm ki paai hey saza, yaad nahiN
meiN palkoN sey dar-e-yaar pe dastak di hey
meiN wo saail hooN jisey koi sadaa yaad nahiN
kesey bhar aaeiN sar-e-shaam kisi ki aaNkheiN
kesey tharrai chiraaghoN ki zia yaad nahiN
sirf dhundlaaey sitaaroN ki chamak dekhi hey
kab huwa, kon huwa, mujh sey khafa yaad nahiN
aao ik sajda kareiN aalam-e-mad’hoshi meiN
log kehtey heiN ke Saghar ko khuda yaad nahiN**
Saghar Siddiqui
fara
2
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
One of my favourite.. soch rahi thee post keroon.. aap nay bazi jeet li! :) It's my mum's favourite too...
**zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaati hey
jaaney kis jurm ki paai hey saza, yaad nahiN
**
Naabigh
3
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
has any one read his biography ?
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
bht khobsorat ghazal hai
thanks for sharing amal
UZ
5
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
Sahar kaa last sher acha hai and is ke naam ko behtreen tareeqay se istemaal kiya gaya hai :)
Nice one Amal :
k:
Koyal
6
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
sahi he tu kahtey haiN na ap ko waqie se he ahd-e-wafa yaad nahi :p
Beautiful choice :)
Amal
7
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi…
"hameiN yaad hey sab zara, zara…tumheiN yaad ho ke na yaad ho***"*** … :pcg:
Amal
8
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
One of my favourite.. soch rahi thee post keroon.. aap nay bazi jeet li! :) It's my mum's favourite too...
**zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaati hey
jaaney kis jurm ki paai hey saza, yaad nahiN
**
Ziaada soch, bichaar nahi karna chahiye na, post kar dena chahiye bas :)
KKF
9
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
waah Amal bhai, zabardast! SaaGhar Siddiqui saaHib kii bahtareen GhazloN meN se ek hai. mujhe bahooot pasand hai...shukria share karne ke liye :D
Koyal
10
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi…
yaad hmmmmmm jnhaiN hum bhollna chaa’haiN wo aksaR yaad aa’tey haiN 
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
**
hum ney jin ke leeye raahoN meiN bichaaya tha lahu
hum sey kehtey heiN wohi ehd-e-wafa yaad nahiN
zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaati hey
jaaney kis jurm ki paai hey saza, yaad nahiN
meiN palkoN sey dar-e-yaar pe dastak di hey
meiN wo saail hooN jisey koi sadaa yaad nahiN
kesey bhar aaeiN sar-e-shaam kisi ki aaNkheiN
kesey tharrai chiraaghoN ki zia yaad nahiN
aao ik sajda kareiN aalam-e-mad'hoshi meiN
log kehtey heiN ke Saghar ko khuda yaad nahiN**
Saghar Siddiqui
Awesome ... :-)
Amal
12
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi...
waah Amal bhai, zabardast! SaaGhar Siddiqui saaHib kii bahtareen GhazloN meN se ek hai. mujhe bahooot pasand hai...shukria share karne ke liye :D
Shukriya Khalil bhai :)
yaad hmmmmmm jnhaiN hum bhollna chaa'haiN wo aksaR yaad aa'tey haiN :(
To jo kaam nahi hota, wo aap karti hi kiuN heiN? :p
Awesome ... :-)
Shukriya Gul :)
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi…
Bohat khoob :k:
Aryaan
14
Re: Hey duwa yaad magar harf-e-duwa yaad nahi…
Very Nice Amal..:k: