Hawa ka sabz dupatta tere naam

Saat suron ka behta dariya tere naam
Har sur main ik rang dhanak ka tere naam

Jungle jungle urne wale sab mausam
Aur hawa ka sabz dupatta tere naam

Hijr ki shaam akeli raat ke khali dar
Subha firaaq ka zard ujaaala tere naam

Tere bina jo umr bitayee beet gayee
Ab is umr ka baqi hissa tere naaam

Jitney khwaab Khuda ne mere naam likhey
Un khwaabon ka resha resha tere naam

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

ab DopaTTe ke oRhne kaa rivaaj hii sire se uTh gayaa hai to aise taHaa'if dene kaa kia maqsad rahaa? :(

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

ab bhi peeko wale ke haan boht rush lagta hai ;)

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

lol…yeah…shaayad azaan ke waqt oRhne kaa rivaaj abhii bhii baaqii hai! :wink:

hawaa meN uRtaa jaaye teraa laal DopaTTaa malmal kaa :cb:

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

:nahi:

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

Tex bachanay ka khayal ziyada lagta hy…:hmmm:

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

konsa Tax?

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

WoW..isay parh k woh song yad a gya ,‘Teray naam jeevan apna sara sanam’ :cb:

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

Mujhe tou laal dupatta chahiyye... Meray naey suit k saath ka dupatta abhi tak nahin aaya.

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

Tere bina jo umr bitayee beet gayee
Ab is umr ka baqi hissa tere naaam

jo hissa guzar gya woh kis k naam tha?

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

Insaan ka apne ooper bhi haq hota hai

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

woh aap k apnay naam

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

sbz kyun, peela kyun nahin. :hmmm:

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

bawaqt e zaroorat jhanday ka kaam bhi dy ga

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

Bohat Bholay ho Aap…Itni saari jaidaad usay dy rahay ho kis liya…?:5:

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

Inheritance pe tax nahin lagta

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

sabz harre bhare hone ki nishani.. peela/zard/ yarqani destruction ki

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

dupatta aoutein leti hain khaitian nahin

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

haan phir bhi sabz ziada favorite hai khwateen main

Re: Hawa ka sabz dupatta tere naam

is ki koe khaas waja?