Has the West ruined families?

Re: Has the West ruined families?

Wo husband hi phir sahi naheen. Ussay apni biwi pasand naheen hogi.

Daraasal yay west ka qusoor naheen wo admi khud hi western khiaalaat ko ho ga jo wahan Yani apnay mulk main under dabi huwi hogi jo yahan aa kar mauqa mil gia apni khuwahish poori karnay ki to is tarha kar raha hai.

Is main kuch qusoor to hota hai west ka laikin ziada qusoor apna hota hai yani us mard ka.

Agar ghar main aik fard yani husband ya wife main say kisi aik ka rawwayya aik doosray kay saath sahi na ho yani budtamizi wala to uska poor ghar hi mess bun jata hai. Buchchay bhi wo hi sulook kartay hain jis kay saath budtamizi ho rahi ho.

Is main sara qusoor mard ka hai jo na sirf apni biwi say nafrat karta hai balkay intehai budtameez bhi hai jo biwi ko maci kahta hai (agar mazaq main khata ho to phir theek hai).

Mazaq main bhi kahna naheen chahyay. Is tarha buchchon pay bura asar par'ta hai un bachchon ka apna husband wife kay saath bhi bilkul aisa hi sulook hoga.