Tooti hai meri neend magar tum ko is say kia
bajtay rahein hawaoon say darr tum ko is say kia
tum mauj mauj misl e saba ghoomtay raho
kat jaein meri soaach k par tum ko is say kia
**taRap uThuuN bhi to zaalim teri duhaa'ee na duuN
maiN zaKhm zaKhm huuN phir bhi tujhe dikhaa'ee na duuN **
**tasviir banaataa huuN tasviir nahiN banti
ek khvaab saa dekhaa hai taabeer nahiN banti **
***teraa hijar mera naseeb hai teraa Gam hi meri hayaat hai
mujhe teri duuri ka Gam ho kyoN tuu kahiN bhi ho mere saath hai
**terii kaj-adaa'ee se haar k shab-e-intazaar chalii ga'ee
mere zabt-e-haal se ruuTh kar mere Gam-gusaar chale gaye **
***tere qadamoN pe sar hogaa qazaa sar pe khaRi hogi
phir us sajde kaa kyaa kahnaa anokhi bandagi hogi
Re: Harf of the week .. Ttey
@ Koyal
Re: Harf of the week .. Ttey
Toot Jatay Hain Sab Alfaaz-o-Ma'aani Ke Talism
Bezubani Main Ajab Quwat-e-Goyaa'i Hai
Re: Harf of the week .. Ttey
Tukra Koi Ataa Ho Ehraam-e-Bandagi Ka
Soorakh Par Gaye Hain Ikhlaas Ke Kafan Main
Re: Harf of the week .. Ttey
Toot Jaata Hai Dil Magar Qaalib
Ishq Manoos-e-Gham Nahin Hota
Re: Harf of the week .. Ttey
Toot Jayen Na Kaheen Pyar Ke Nazuk Rishtay
Waqt Zalim Hai Her Ik Mo'rr Pe Takraye Ga
Re: Harf of the week .. Ttey
<!-- google_ad_section_start -->tu nahin to zindagi main aur kia reh jaye ga,
door tak khamoshiyun ka silsila reh jaye ga....<!-- google_ad_section_end -->
Pk786 … Aap Bhi ![]()
Hai ALLAH Koyal Mawsee Ki Najarwaa Ko Kaaa Ho’ee Gavaa !!!
Yah Ttamatar Wala Ttay Hay Teetar Wala Tay Naheen ![]()
Re: Harf of the week .. Ttey
ohhhhhhhhhh acha ab samjh ayi tabhi main soch rahi thi k phir se wohi word of week ![]()
ab yeh tamatar wale ttay sey shair kaise bane ![]()
tu pk laala main kaun si poetest hoon ![]()
TooTay huay diloN kee dua meray saaTH hai
Duniya teri taraf hai Khuda meray saaTH hai
AAwaz GHunghro'on kee naheeN hai to kia hua
Saagar kay TooTnay kee sada meray saaTH ha
THukraao ya ab kay pyaar karo maiN nashay maiN hooN
Jo CHaaho meray yaar karo maiN nashay maiN hooN
Girnay do tum mujhay mera saagar sambhaal lo
Itna to meray yaar karo maiN nashay maiN hooN
Re: Harf of the week .. Ttey
ttootey hue khwabon ne hum ko yeh sikhaya hai
dil ne jise paya tha aankhon ne ganwaya hai
Tehri hai rag e jaaN pe wahi wasl kee sa'at
Woh AanKH hai aur arsa e deedaar maiN hum haiN