Harf of the week .. Ttey

Toot hee jayeN na CHan say' narm SHeeSHay kay badan
Ronaq e bazaar sari haaTH kay paTHTHar maiN hai


Teyhni sey aik phool ki patii bhi jab giri
unn key qadmoo ki chap kaa dhokaa huwa mujhay

Tootnay waali kissi shay pe bharosa na karo
Khaab ho, dil ho, sitaara ho, koee wa'da ho

Re: Harf of the week .. Ttey

Toot ke barsa he sawan aaj to
lagta he phir koi dil toot gaya he


tapak aye shama ansoo bun kar parwanay ki ankhoo say
saraba dard ho hasrat bhari hai dastaa'n meri


toot jatay hai sub alfaaz-o-maani kay talasum
bezubani mai ajab qoowat-e-goyae hai

Re: Harf of the week .. Ttey

Thokrain maar k mehfil say uthatay hain mujhay
Or ik pair say daaman bhi dabaa rakha hay

**Tthaani **Thi Dil Main Ab Na Milaingey Kissi Say Hum
Par Kiya Karain Keh Ho Ga'ey Na'Chaar Jee Say Hum
Kiya Dil Ko Lay Gaya Koi Baygaana Aashnaa
Kiyoon Apnay Jee Ko Lagtay Hain Kuch Ajnabi Say Hum

Ttakraa Hee Ga'ee Myree Nazar Unki Nazar Say
Dhona Hee Parra Haath Mujhay Qalb o Jigar Say
Izhaar e Muhabbat Na Kiya Bas Issi Dar Say
Aisaa Na Ho Gir Jaon Kaheen Unki Nazar Say

**Tthahar* Jaa'o Kay Hayraani Tou Ja'ey
Tumhari Shakal Pahchaani Tou Jaa'ey

Shab-e-Gham Tou Hee Mahmaa'n Ban Kay Ajaa
Humaray Ghar Ki Veerani Tou Jaa'ey *

**Thandi Havaa K Jhonkay Chaltay Hain Halkay Halkay
Aisay Main Dil Na Torr Waa'dey Karo Na Kal Kay

Chaltay Hain Yey Bhi Hum Say Tayver Badal Badal Kay **
Jin Ko Sikhayaa Hum Nay Chalnaa Sambhal Sambhal Kay

Ttootay Hovay Diloo'n Ki Dua Mayray Saath Hay
Dunyaa Tayree Taraf Hay Khuda Mayray Saath Hay

Aavaaz Ghongroo Ki Naheen Hay Tou Kiya Hovaa
Saagar K Ttootnay Ki Sada Mayray Saath hay

Re: Harf of the week .. Ttey

WEEK KHATAM KAB HOGA :ASA:

Re: Harf of the week .. Ttey

Jab Mods Weekend Say lautt kar aaingay Tab :wink: