Harf of the week ... Tay

Re: Harf of the week ... Tay

Tujh ko ehsaas hi kab hay k kisi dard ka daagh
Aankh say dil main utar jaye to kia hota hay?
Tu k seemaab tabiat hay tujhay kia maloom
Mosam-e-hijr theher jaye to kia hota hay?

Re: Harf of the week ... Tay

Tujh Se Naraz Nahin Zindagi Hairaan Hoon Main
Teray Masoom Sawalon Se Pareshan Hoon Main

Re: Harf of the week ... Tay

Tera aks
meri aankh main
thehra istarha
ke
phir be-naai ban gaya...

Tu shareek-e-sukhan nahiN hai to kia
Hum sukhan teri khamshi hai abhi
Yaad kay bay nishaaN jazeeroN say
Teri aawaaz aa rahi hai abhi

Re: Harf of the week ... Tay

Tum hi ho jo roshni ban ker hamari aankhon main aa basay ho
Jab apni aankhain hi keh diya hay to phir bhala kioon rulayn tum ko

Re: Harf of the week ... Tay

Tum Ko Dekha To Ye Khayal Aaya
Zindagi Dhoop, Tum Ghana Saaya
Hum Jisay Gunguna Nahin Saktay
Waqt Ne Aisa Geet Kion Gaaya

Re: Harf of the week ... Tay

Tou Nay Daykha Hay Kabhee Ek Nazar Shaam K Baad
Kitnay Chup Chaap Say Lagtay Hain Shajar Shaam K Baad

Tou Hay Sooraj Tujhay Maa'loom Kahaa'n Raat Ka Dukh
Tou Kissi Roz Mayray Ghar Main Utar Shaam K Baad

**Tou **Mujhay Itnay Pyaar Say Mat Daikh

**Tayree **Palkoo'n Ki Naram Saa'ey Main

Dhoop Bhi Chandni Si Lagti Hay

Aur Mujhay Kitni Door Jaana Hay

Rait Hay Garm

Paa'oon K Chala You Dahaktay Hain

Jaisay Angaaray

Pyaar Ki Yay Nazar Rahay Na Rahay

Kaun Dasht e Wafaa Main Jaata Hay

Tayaray Dil Ko Khabar Rahay Na Rahay

*Tou *
Mujhay Itnay Pyaar Say Mat Daikh !!
**
**

Tou Kaheen Bhi Rahay Sar Pay Tayray Ilzaam Tou Hay
Tayray Haathoo'n Ki Lakiroo'n Main Mayra Naam Tou Hay

Mujhko Tou **Apnaa Banaa Ya Na Bana **Tayree Khushi
Tou Zamanay Main Mayray Naam Say Badnaam Tou Hay

Mayray Hissay Main Koi Jaam Na Aayaa Na Sahii
Tayree Mahfil Main M'ray Naam Koi Shaam Tou Hay

Daikh Kar Log Mujhay Naam Tayraa Laytay Hain
Is Pay Main Khush Hoon ' Muhabbat ka Yeh Anjaam Tou Hay

Woh Sitamgar Hee Sahi Daikh K Us Ko Sabir
Shukar Is Dil e Beemaar ko Aaraam Tou Hay

**Tumharee* Mast Nazar Agar Idhar Nahee'n Hoti*
Nashay Main Choor Fizaa Is Qadar Nahee'n Hoti

**Tumhee* Ko daikhnay Ki Dil Main Aarzo'ain Hain*
**Tumharay* Aagay Hee Aur Oonchee Nazar Nahee'n Hoti*

Khafaa Na Hona Agar barrh K **Thaam* Loon Daaman*
Yay Dil-Fareeb Khata Jaan Kar Naheen Hoti

**Tumharay* Aanay Talak Hum Ko Hosh Rehta Hay*
Phir Uskay Baad Humain Kuch Khabar Naheen Hoti

Re: Harf of the week ... Tay

Tum tark-e-taaluq ka kisi say zikr na kerna
Aur main logoon say keh doon ga k fursat nahi milti

Re: Harf of the week ... Tay

Tujhse Door Hu To Keh Nahi Sakta Dard Apna,

Teri Tasveer Ko Hi Apna Gum Suna Dete Hai.

Tum Maano,na Maano,teri Yaad Rulaye Jab Bhi,

Mere Aasu Teri Aankho Me Nazar Aate Hai.

Roz Karta Hu Teri Tasveer Se Baatein Teri Yaado Ki,

Uff !ye Sitam K Ye Dekhkar Log mujh Ko Deewana Kehte Hai.

Laakh Sitam Kar Le Ye Duniya Mujhpar Koi Gum Nahi,

Teri Tasveer Ko Har Zakhm Ki Dawaa Bana Lete Hai.
<!-- / message -->

Re: Harf of the week ... Tay

Teray aastaan pay aay, teri yaad kainch lai
Rakahy khuda salamat, teray dar say aashnai

Re: Harf of the week ... Tay

teray ishq ki inteha chahta hoon
meri saadgi daikh kia chahta hoon

Re: Harf of the week ... Tay

Tera Dard Tha,
teri aas thi,
mai jider gaya
mai jahan gaya
mera din to yunhi guzar gaya,
yunhi shaam hoie mai bikhar gaya
is aber ka meray yaar say,
kitna milta julta mizaaj tha,
kabi tooot kar bars gaya,
kabi bay-rukhi say guzar gaya
koi baaat b na keh saka,
bus thorhi dair ka sath tha,
wo mila raat khawab mai,
junhi subah hoie bicher gaya
jab chorh doon ga mai wo gali,
usay yaad aiay ge tab meri,
wo dhonday ka mujay gali gali
aor
khabar milay gi mai MAR gaya.........

Re: Harf of the week ... Tay

Tere baaray main jab socha nahin tha
main tanha tha magar itna nahin tha

**Tayree* Ibtida Koi Aur Hay*
**
**Tayree* Intiha Koi Aur Hay *
**
Tayree **Baat Humsay Hovee Tou Kiya
**
***Tayraa
Mud'aa Koi Aur Hay*
**
Humain Shauq Tha Barri Dair Say
**
Keh **Tayra* Shareek e Safar Banain*
**
**Tayray* Saath Chal Kar Khabar Hovee *
**
**Tayraa* Raasta Koi Aur Hay*
**
**Tujhay* Fikar Hay Keh Badal Diya*
**
Mujhay Gardish e Shab o Roz Nay
**
Kabhi Khud Say Bhi Tou Sawaal Kar
**
**Tou* Wahi Hay Ya Koi Aur Hay ?*

Re: Harf of the week ... Tay

Tarashe shehar maine bakhsh kaise kaise
magar main khud sada be-ghar raha hoon

Re: Harf of the week ... Tay

Tum jahaan raho jis k sang raho,Meri duaoon k hisaar main rahoo
Ye meri duaoon main sab say piyaari dua hay tumharay naam

Re: Harf of the week ... Tay

tamam umar jihain haadson ne paala hai
inhi ke dum se mohabbat ka bol baala hai..