Harf of the week ... Tay

Re: Harf of the week ... Tay

Tamaam Umrr Ki Na'Motbar Rafaqat Se
Kaheen Bhala Ho Ke Pal Bhar Milain, Yaqeen Se Milain

Re: Harf of the week ... Tay

teRe sath jo mosum thay un ka kya haal hoa kbhi likhna
meRe baad tujhe koi kushi mili ke malal hoa kabhi likhna
kabhi sath hawaa ne raqs kya dukh sukh banta sach kehna
koi sath hansa ya roya,kitna nidhal hoa kabhi likhnaa

<!-- / message --><!-- sig -->

Re: Harf of the week ... Tay

Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhtay Ho Faraz
Dost Hota Nahin, Her Haath Milanay Wala

Re: Harf of the week ... Tay

Tamaam Umrr Kahan Koi Saath Deta Hai
Main Jaanta Hoon Magar, Thori Duur Sath Chalo

Re: Harf of the week ... Tay

Tujhe Kis Tarah Ye Bataon Main
Meri Saansain Kitni Qaleel Hain
Tujhe Khoj Lenay Ke Marhalay
Meri Zindagi Se Taweek Hain

(Ahmer)

Re: Harf of the week ... Tay

Tumhari Yaad Meri Zindaghi Hai, Ye Tasleem
Magar Main Chahu'n To Tum Ko Bhula Bhi Sakta Hun

Re: Harf of the week ... Tay

Tumhi To Ho, Jisay Kehti Hai Na'Khuda Dunya
Bacha Sako To Bacha Ke Doobta Hoon Main

Re: Harf of the week ... Tay

Tanhai Ka Aalam Bhi Pur'Israar Hai Kitna
Jese Koi Chhup Chhup Ke Mujhe Dekh Raha Hai

Re: Harf of the week ... Tay

Tu Khuaab Tha To Mujhe Neend Se Jagaya Kion
Tu Wehem Tha To Meray Saath Saath Kion Na Chala

Re: Harf of the week ... Tay

Teray aanay ka intazaar raha..
Umer bhar mosam-e-bahaar raha..

Re: Harf of the week ... Tay

Tu jo bochray to milay dard qiyaamat jaisa..
Tujh say kaisa ye taaluq hay MOHABBAT jaisa..
Jis ko chaho usay ehsas-e-Khudai de do..
Silsala PIYAAR ka rakho to ibadat jaisa..

Re: Harf of the week ... Tay

Tumhara piyaar chup chup ker kaye chehray badalta hay.. mijhay tum yaad aatay ho..
Tumhara hijr shiddat say meray dil ko masalta hay..mujhay tum yaad aatay ho..

Re: Harf of the week ... Tay

Tumhara hijr saddi do saddi to paalain gay..
Abhi kuch itni sakat to hamari chaah main hay..

Re: Harf of the week ... Tay

Teri Aankhon Ki Udaasi Mujhe Kerti Hai Udaas
Teri Tanhai Ke Ehsaas Se Dil Jalta Hai

Re: Harf of the week ... Tay

Teray Qareeb Reh Ke Bhi Dil Mutma'in Na Tha
Guzri Hai Mujh Pe Ye Bhi Qayamat Kabhi Kabhi

Re: Harf of the week ... Tay

Tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaatey
Varna hum ko bhi tamanna thi k chaahey jaate

Re: Harf of the week ... Tay

Taaro'n Bhara Aasmaa'n --- Muhabbat
Jazbaat Ka Behr-e-Be'Karaa'n --- Hum

Re: Harf of the week ... Tay

Tum Deay Ho Jo Laraztay Ho Saba Ke Derr Se
Hum Sitaaray Hain Jo Tufaa'n Se Guzar Jatay Hain

Re: Harf of the week ... Tay

Teray Pehlu Se Uth Ker Kho Gaye Hum
Khayalo'n Ki Ghani Tanha'ion Main

Re: Harf of the week ... Tay

Tum Itni Duur Se Chal Ker Meray Qareeb Aye
To Abb Qareeb He Betho, Thakan Mujhe De Do