Harf of the week ... Tay

Tazaad-e-Jazbaat mein yeh Nazuk Maqaam aaya to kya karo gey main ro raha hoo'n to hans rahey ho, main muskuraya to kya karo gey abhi to daaman chura arhey ho , bigar ke Qaabil* se ja rahey ho magar kabhi jo dharkanoo'n mein shareek paya to kya karo gey


Tarsey Huye Sehraaoo'n se jo bin barsey hi guzar jaye
aisi bhi koi saawan ki maghroor ghata na ho

Tum ko Khabar hui na zamana samajh saka ham tum pe chupkey chupkey kayi baar mar gey

:chai:

tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhe.n bhii
aanevaale lamho.n kii amaanat ban jaaye.N

tum jo Thahar jaao to
ye raat
mahataab
ye sabzaa
ye gulaab
aur
ham dono.n ke Khvaab

sab ke sab aise mubaham ho.n ki haqiiqat ho jaaye.N

tum Thahar jaao ki unavaan kii tafasiir ho tum

tum se talKhii-e-auqaat kaa mausam badale

raat to kyaa badalegii
haaalat to kyaa badale.nge

tum jo Thahar jaao to
merii zaat kaa mausam badale

mahaarbaa.N ho ke na Thaharo to phir yuu.N Thaharo
jaise pal bhar ko ko_ii Khvaab-e-tamannaa Thahare

jaise daravesh-e-madaa-nosh ke pyaale me.n kabhii
ek do pal ke liye talKhii-e-duniyaa Thahare

Thahar jaao ke madaarat maikhaane se
chalate chalate ko_ii ek-aadh subuu ho jaaye

is se pahale ke ko_ii lamhaa aa_indaa ka tiir
is tarah aaye ke pevast-e-guluu ho jaaye

Re: Harf of the week ... Tay

***tabaa'hi kaa apni nishaaN chhoR aa'ey*** ***vaRaq dar vaRaq daasta'N chhoR aa'ey*** ***haR ek ajnabi se pataa puuchhate haiN *** ***tujhe zindagi ham kahaaN chhoR aa'ey***

Re: Harf of the week ... Tay


***tang aa chuke haiN kash-ma-kash-e-zindgi se ham
thukraa naa deiN jahaaN ko kahiN be'dili se ham


Re: Harf of the week ... Tay

**tasveeR banaataa huuN tasveeR nahiN banti
ek khvaab saa dekhaa hai taabeeR nahiN banti *
*

Re: Harf of the week ... Tay

***taviil sadiyooN k besadaa maNzaroN se pucho
meri tabaa'hi ki daastaa'N patharooN se pucho


Re: Harf of the week ... Tay

***tumhaare mahlooN ki shaan-o-shaukat bhi aarazi haiN
hamaare maazi kaa kyaa huaa maqbarooN se pucho


Re: Harf of the week ... Tay


teRe gham ko jaa'N ki talaash thi tere jaa'N-nisaaR chale gaye:(
teri raah meiN karte the saR talab saR-e-raah-guzaR chale gaye :(

Re: Harf of the week ... Tay

teRi kaj-adaa_ii se haaR k shab-e-inTazaaR chali gaa'ee
meRe zabt-e-haal se ruuTh kaR meRe Gam-gusaaR chale gaye :(

Re: Harf of the week ... Tay


**teRi guftaguu meiN hai jo chaashni jo teRe laboN meiN halaavateiN **
na suruuR vo fasl-e-bahaaR meiN na gulooN meiN lataafateiN *kahaaN rah ga'eyN teRi nigahateiN vo sabaa kidhar ko nikal ga'ee ***
***teRi aahaTooNko taras gaa'eyN meRe jism-o-jaa'N ki sama'ateiN :(
*

Re: Harf of the week ... Tay


***tujhi se ibtadaa hai tuu hi ik din intahaa hogaa
sadaa-e-saaz hogii aur na saaz-e-besadaa hogaa


Re: Harf of the week ... Tay

Tum Mauj Mauj Misl-e-Saba Ghoomtay Raho
Kut Jayen Meri Soch Ke Per, Tumko Iss Se Kia

Re: Harf of the week ... Tay

Tum Ne To Jakay Ke Dasht Main Khemay Laga Leay
Tanha Katay Kisi Ka Safar Tumko Iss Se Kia

Re: Harf of the week ... Tay

Tujhko Ye Dukh Ke Meri Chara'Gari Kese Ho
Mujhko Ye Gham Ke Meray Zakhma Na Bhar Jayen Kaheen

Re: Harf of the week ... Tay

Tujhe To Mainay Bari Aarzu Se Chaaha Tha
Ye Kia Ke Chhor Chala Tu Bhi Aur Sab Ki Tarah

Re: Harf of the week ... Tay

Teray Bagher Kisi Cheez Ki Kami To Nahin
Teray Bagher Tabiyat Udaas Rehti Hai

Re: Harf of the week ... Tay

Tum Bhi Rafaqato'n Main Nahin Qabil-e-Yaqeen
Ehl-e-Wafa Main Apni Bhi Shohrat Ajeeb Hai

Re: Harf of the week ... Tay

Tum To Shayer Ho Qateel Aur Wo Ek Aam Sa Shakhs
Uss Ne Chaaha Bhi Tumhain Aur Jataya Bhi Nahin