Harf of the week... Pay

Pocho to ek ek hai tanha sulag raha
dekho to shehar shehar hai mela laga huwa

Re: Harf of the week... Pay

Patta Patta, Boota Boota Haal Hamara Janay Hai
Janay Na Janay Gul He Na Janay, Bagh To Sara Janay Hai

Re: Harf of the week... Pay

Palko'n Pe Kachi Neend Ka Rus Phailta Ho Jub
Aisay Main Aankh Dhoop Ke Rukh Kese Kholeay

Re: Harf of the week... Pay

Pooray Qad Se Main Khara Hoon To Ye Tera Karam Hai
Mujh Ko Jhuknay Nahin Deta Hai Sahara Tera

Re: Harf of the week… Pay

:smack2:** main samjhi PayDay :@:**

Re: Harf of the week... Pay

lolx.. for payDay.. u need to contact MayDay.. :p

**Pahaley to apaney dil ki razaa jaan jaa'iye
Phir jo nigaah-e-yaar kahey maan jaa'iye

Pahley mizaaj-e-raahguzar jaan jaa_iye
Phir gard-e-raah jo bhi kahey maan jaa_iye **

Pyaar ka pahla Khat likhney mein waqt to lagta hay
naye parindon ko urney mein waqt to lagta hay

Jism ki baat nahin thi, un ke dil tak jaana tha
lambi doori tay karney mein waqt to lagta hay

**:DWah! yeh tu shyr ho giya:k:
**

aur ye shair pay say nahi meeem say hai :smilestar:

**:smack: Shyr per shyr nahi Misry pay misra hai:kursi:

PS: Yeh aik or shyr ho giya(tyra misra+myra misra=shyr)**

lol is ko shora-o-gupshup mai na move kardo :snooty:


pehloo main reh kay dil ney diya hai barha faraib
rakha hai us ki yaad ko bhulaaney kay baad bhi


phoolon ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchh is mein hawaoon ki siyasat bhi buhat thi

pathar pe lakeeron ki tarah dil mein tera naam
aur log kahein mujh se ke ab us ko bhula do
tarso na kabhi pyaar ko ye meri duaa hai
ae kaash faqat tum bhi mujhe dil se duaa do

Re: Harf of the week... Pay

pehlay aati thi haal par apny hansi


........ab kisi baat par nahin aati........

Re: Harf of the week... Pay

Pehlay to us k haath ki masha'al bujhi Wasi
Phir yoon hua Kahien meri taqdeer kho Gai…

Re: Harf of the week... Pay

Pareshan aks e hastee, aina be-noor daikha hey
Meri aankhon ne afsurda chiragh e toor daikha

Re: Harf of the week... Pay

Paaon ke zaKhm hain farsh-e-gul-e-tar honey tak
Raah dushvaar hai aaghaaz-e-safar honey tak


Pas-e-zulmat koi sooraj hamara muntazir hoga
Isi ik waham ko hum nay chiraagh-e-rahguzar jaana