halki si ghazal

aap ke dil mei kya hae bata dijiye
yuun na khamosh reh kar saza dijiye


ya to waada wafa aap puraa karen
ya umeedon ki shamma bujha dijiye


aap ko chaah kar kuch na chaha kabhi
meri chahat ka kuch toh silaa dijiye


phool murjha gayen aap ki chah mein
muskura ke unhe phir khilaa dijiye



Re: halki si ghazal

awesome
yeh pehli nazam hai jo mujey poray tarhan se samaj ai hai
thanks for sharing

Re: halki si ghazal

Thank u ashi and im glad aap ko poori samjh mei aa gayee :)
kabhi agar kisi ki thread mei kuch na samjha aayen toh puchhen zaroor- they'll explain:)

Re: halki si ghazal

han kyun nahi lekin jo bohat mushkil urdu hoti hai woh mujey samaj nahi ati
aur yahn per takreeban sabhi he aisa liktey hain tu kis kis se matlab poochon

Re: halki si ghazal

haha...ye bhi baat aap ki sahi....acha mae koshish karungi aur kuch halke halke ghazlen pesh karne ke liye...ESPECIALLY FOR ASHI :)

Re: halki si ghazal

hamien bari ghazal chiay halki wali nai :naraz:



**PS:- Very Nice sharing **

Re: halki si ghazal

*pehle mithaee khilayen phir :p *

Re: halki si ghazal

thanku sooooooooooooooooo much

Re: halki si ghazal

aap ki mithaiee time pass wale thread mai send kar di hay :D

Re: halki si ghazal

Idhar deni thi naa...wahan bheegiyaad nazre jamaye baethi hae :(

Re: halki si ghazal

aap ke dil mei kya hae bata dijiye
yuun na khamosh reh kar saza dijiye

very nice beautiful

Re: halki si ghazal

dil nay socha thaa
k tum bahut khoobsurat ho
teri chah main dil mera
dooba dooba jaata thaa

usay mil gayi hai ab
tum se bhi khoobsoorat larki
ab vo teray liyay khamosh hai
par us main dooba jaata hai

bhool jaao sub puraanay waaday
kho jaao sub puraani umeedain
ab nayay waaday denay hain
nayi umeedain bharni hain

jaao, ab kisi aur ko chaho
mera ab peechcha chod jaaoo
main us pe ab muskrata hoon
vo jab mujh par muskrati hai

phoolon k pahar lag jaatay hain
tottay shakar khannay lagtay hain
hansi main maaray jaatay hain
hum hunsnay lagtay hain

vo bahut khoobsoorat hai
meray dil ki chahat hai
meray dil ki kushboo hai
meri mehbooba meri raani hai

Re: halki si ghazal

pyaari nazm post ki aap ne Ravi. thanks. ye translation hae kisi poem ka kya??

Re: halki si ghazal

JW, yeh translation nahin hai. main nay jab aap ki halki si ghazal pari to inspiration bahut mila, aur main yeh jawab main likhnay baith giya k mohabaat kya hai. jisay bahut log mohabbat kehtay hain, meray khiyaal se vo mahabbat nahin hai, khoobsoorti ki chahat hai.

Re: halki si ghazal

khoobsurati- zahiri- meaning physical beauty?? u dont believe in love ravi?

Re: halki si ghazal

hum ko badi baton main bharosa hai
aur shak bhi hai
lakin jo baatain asliiyat ki hain
sirf vo hi achchi lagati hain

baaki jhoothi-moothi
mohabbat ki tainhaaeeon main
mar jaanay waali baatain,
sub bakwaas lagti hain

Re: halki si ghazal

***u’ll never get an epic written on ur lovestory ravi ***:cb:

Re: halki si ghazal

bahut logon nay mohabbtaain keen
bahut jhoothi se jhoothi theen
sirf kuch hi sachchi theen.
mar gayey sub vo log
mar gayeen unki mohabbatain.
kaaaun parhta hai unki
mohabbat ki daastaanain?

galti ho gayi, mauf karna.
jab apni mohabbat bharti nahin
to log baith jaatay hain
sun-nay mohabbat ki daastaanain
ya parhnay-likhnay baith jaatay hain
mohabbat ki nazmain aur ghazalain
ya suntay hain mohabbati-filmi gaanay.
yeh sub jhood jhood hain, jhood hain
lakin log khush hain, bahit khush hain
laggay hain apna dil behlaanay!

(how long is your epic by now?
or not yet started? or gave up?
ya abhi koee baat bani nahin
aur bahut bahut intzaar hai?)

Re: halki si ghazal

very nice :k:

Re: halki si ghazal

Aap K Liye Duaaein :bb: