main nay suna aur dekha aur khaya bhi hai..
kah larkay hazraat HALEEM achee banatay hain ![]()
sunday ko meray nephew ki bday main meray bhai aur 2 bahnoiyon nay mil kar (aakhir main, mera thora sa haath tha, main nay haleem ghotee thee
)jo Haleem banai thee..wah baray mazay ki thee..main waisay haleem nahi khaatee..lekin aisay hi main nay jab taste kia tou na tou uss main ziadah mirchain theen aur na koi masala idhar sey udhar hua tha :k: ..ziadah tar jo haleem mainnay ab tak apni life main thori see taste ki hain woh khanay ko tou kya woh dekhnay laiq bhi nahi hoteen hain ![]()
jin Jin larkon ki haleem main nay thori thori taste ki hai..tou ab mujhay yeh pata chala hai kah larkiyon sey ziadah haleem larkay achee banatay hain..aur larkon ko hi haleem bananee chahiyah
:k: