Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala.
Wahi andaz hai Zalim ka zamane wala.

Ab usse Log kehte hain Griftaar mera.
Sakht Nadim hai mujhe daam main lane wala.

kya kahin kitne mrasam the hamare uss se.
Wo jo aek shakhs hai moonh pher ke jane wala.

Tere hote howe aa jati thi Dunya sari.
Aaj TANHA hoon to koi nahi aane wala.

Muntazir kis ka hoon Toti howi Dehleez pe main.
Kon aaye ga yahan, Kon hai aane wala.

Main ne dekha hai Baharon mai chaman ko jalte.
Hai koi Khowab ki tabeer batane wala.

Kya Khabar thi jo meri jaan main ghula hai itna.
Hai wahi mujh ko sar e daar bhi Lane wala.

Tum takalluf ko bhi Ikhlaas samjhte ho “FARAZ”
DOST hota nahi har haath milane wala.


Restored attachments:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

nice one muqawee :hinna:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Dost hota Nhi her hath milnay vala :k:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Thanks khwateen for appreciating. Its my all all time favorite.

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

hum khawateen nahi hain :grumpy:
hum larkiyan hain :snooty:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Agreed wth LP :snooty:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Acha Acha.. Maan lete hain.

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

:lifey:

good maan liya…werna khair nahi thee aapki:ASA:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Mujhe khwateen (sorry ladkiyon) ka dil todna acha nahin lagta

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

ya apne aapko mushkil se bachana acha lagta hai:hehe:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

keh sakte hain.... mushkil se bachna ya muraawat ka taqaza.

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

be murawwat hai dunya ab tou:snooty:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Haan ab her koi ye nara lagata hai ' Tha jis ka naam murawwat wo mere dil se gai' :(

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

murawwat larki thee:hayaa:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

dil main sirf ladkiyan nahin rehti :emmy:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

you said gai not gaya:snooty:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

Urdu main murawwat female hai… :snooty:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

wohi tou kaha maine:emmy:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

female ka matlab mo’annas not ladki :snooty:

Re: Hai koi Khuwab ki tabeer batane wala

aik he baat hai :snooty: