…vaise, ek baat kahuuNgaa magar yeh sirf merii zaatii aHsaasaat haiN aur meraa zaatii mushaahida hai…isse Ghazal ke oopar aaNch nahiiN aatii … vo to yaqeenan ek 'umda Ghazal hai.
vo baat yeh hai k kabhii kabhii kisii Ghazal ko jitnii baar paRhaa jaaye utnii hii baar aur paRhne ko dil kartaa hai…aur isii taraH…kuchh GhazleN chuN k itnii baar paRhii aur sunii jaa chukii hotii haiN k usko dobaarah sunne yaa paRhne se hii allergy ho jaatii hai…lol…mere liye…sirf mere liye…yeh Ghazal allergy paidaa kar detii hai…HaalaaN k maiN awaa’il meN bahooot ziyaada pasand kiyaa kartaa thaa.