Diva
1
Haey logon ki karam fermaiyyan
tohmatein …badnamiyan ..rusvaiyyan
Zindagi shayed issi ka naam hai
duriyan ..majburiyan ..tanahiyyan
kya zamanay mein yunhi kat’te hai raat
kervatein …betabiyan …angraiyyan
Kya yehi hoti hai sham e intezar
aahatein …ghabrahatein …perchaiyyan
ik pekar mein simat ker reh gaeen
khubiyan …zebaiyyan …ranaiyyan
zakham phir dil kay haary kernay lageen
badliyan…berkha rutain…pervaiyyan
KAIF peda ker samander ki terha
Wus’atein …khamoshiyan …gehraiyyan
ehsan
2
Re: Haey logon ki karam fermaiyyan
Yeh shair hur baar teen options hee kyun deta hai. 
Diva
3
Re: Haey logon ki karam fermaiyyan
Teen ka number he itna famous hai ..
tarash
4
Re: Haey logon ki karam fermaiyyan

Re: Haey logon ki karam fermaiyyan
KAIF peda ker samander ki terha
Wus’atein …khamoshiyan …gehraiyyan

Re: Haey logon ki karam fermaiyyan
Talaaq Talaaq Talaaq bhi to 3 dafa kehte hain
tarash
7
Re: Haey logon ki karam fermaiyyan
phir pakki talaaq ho jati hai
enter10
8
Re: Haey logon ki karam fermaiyyan
Nice 1