Re: Gumshuda Alfaaz
hmmm…good try magar i was looking for other words…chabootra is different what i meant by platform…railway station kaa platform jo qadre lambaa hotaa hai…chabootra [chau = 4; butar = sides] is a square structure.
baawarchan kah sakte haiN magar puraane afsaanoN yaa qisse kahaaniyoN men ek aur lafz bhii iste’maal huaa kartaa thaa…bachpan meN jab maiN suntaa to aksar vaalid saaHab se yeh poochhtaa k is lafz ke ma’nii to kuchh aur haiN to phir female cook ko is lafz se kiuN bulaate haiN? unkaa jawaab hotaa k yeh Urdu kaa lafz hai…English kaa nahiiN, is liye! ![]()
wash-basin kaa lafz bhii matrook saa hai magar mere ghar ke baRe booRhe aaj bhii Urdu kaa lafz iste’maal karte haiN…magar ziyaada tar portable wash-basin ke liye [yeh bhii ajeeb baat hai]
shaagird pesha naam kii jagah? sorry, maiN kuchh samjhaa nahiiN…ek lafz kitchen ke liye hai aur vo hai:
KItchen=baawarchii_Khaana=rasoii-ghar=matbaKh