Gumshuda Alfaaz

Re: Gumshuda Alfaaz

Ghaur se dekho us meN ek latch lagaa huaa hai…use khol kar uskii safaaii hotii thii rozaana magar ham ghar waale nahiiN karte the…yeh kaam ‘bhangan/bhangii’ [sweeper] kiyaa karte the.

haN, ab kahaN nazar aate haiN…ab to deGh bhii kam kam hii nazar aate haiN jo taanbe ke huaa karte the…ab to heavy duty alumimium ke baRe baRe bhagone huaa karte haiN … mere ghar meN taanbe ke bahot bartan the magar jab ham log gaaoN se move huye to sab sab Khaali ghar meN rakkhe huye the…ek roz raat meN chor aaye aur sab uThaa le gaye…aajkal kii qeemat ke Hisaab se kam se kam 2-4 laakh kaa to rahaa hogaa.