Guest of the Week - ajazali

Re: Guest of the Week - ajazali

aksar shayeron nai muashrti masa'il pe likha ha, lekn aik to bohat kam likha ha, dusra jitna likha os mai koe khas inqalabi rang nahi, third, hum mai bohat kam poplular hai aisi shayri.

Re: Guest of the Week - ajazali

phir bhi nae likhne walon main kon hai jo aap ke khayal se mu'ashriti masail pe likh raha hai purane mehboob o mashooq wale asloob se hat kar. I think India main aisa likha ja raha hai, Pakistan main properly convey nahin ho pa raha due to the reasons you mentioned

Re: Guest of the Week - ajazali

nice interview :k:

Re: Guest of the Week - ajazali

bilkul aaj k naye shayron k leay likhna mushkil ha , cuz its not a traditonal kind of poetry aur traditional shayri se shohrat hasil krna asan ha. Han social media pe hum by- nam shayron ki kuch poetry dekhtay hain, wo b main samjhta hun kuch content writer ka hi kar-nama ha. Parveen shakir ne thori bohat shayri syasi nizam k khilaf likhi ha, lekn zayada tar aurton k masa'il , phr wohi bat hum me wo 'chaska' poetry k taur pe jani jati hai. Mohsin naqvi ne bain ul fiqah thora bohat likha, wo b suna ha esi waja se qatal huwy.
wesy wasi shah ab column likhty han on ko mu'ashray pe inqalbi tarz ki poetry likhna chaheay.

Re: Guest of the Week - ajazali

Wasi Shah ke columns kis tarz ke hote hain? column to shayad Amjad Islam Amjad ne bhi likhe hain... Amjad Saheb ne apne dramon ke zaree'ae Manshiyaat, student politics jaise masa'il ko ba khoobi ujaagar kia tha. Wasi Shah ke dramen bhi unki shayari ki tarah romanticism ke gird ghoomte hain

Re: Guest of the Week - ajazali

sahi kaha, wasi shah apny column ma acha khasa politics ko anaylize krtay han, pichlay dino oska aik coulm PTI ki shekh rasheed k sath itehad pe tanqeed ki waja se social media pe kafi gardish krta raha. Wasi shah aur ata ul haq qasmi jesy logon ko siasi wabastigyon k sath sath muashray pe poetry aur electronic media k zaria behtri lanay ki koshash krni chaheay

Re: Guest of the Week - ajazali

Ata ul Haq Qasmi se yaad aaya mazahiya shayari ke baare main aap ki kia rae hai? share some of your favourite mazahiya poetry.

Re: Guest of the Week - ajazali

ji anwar masood bohat pasand hain mujhe

tu ke jaanain poliay
majay,Anarkali diaan
shaanan
tay wansavannay gaak
nay aithay,tay palio pali
dukanan
waikh ne ariaay khabay pasay waal kisay day
khullay
rahiaan day pay kharay
peinday khusbooan day
hullay
sajay paasay khurli day
wich bangaali rasgullay
panj kaliaanay maujaan
ker lay,lut lay ariay bullay waikh kisay thaan mun na mareen,mur mur pia
samjhaanan
tu ke jaanain poliay
majay,Anarkali dian
shaanan tay vaikh nee jeewan
jogiaay aithay rang barang
patolay
sair karainday nazee aavan pariaan day kuj tolay
tay chad day khavan wal
wadayvain
hun na chabbeen cholay
chud day peenay guray
tay sharbat pee hun cocay colay
tay botal day nal mun na
laeen,mun vich paa laeen
kaana
tu kee janain poliay majay, Anarkali dian shaanan
tay alanshee mutiaaraan
waali,char tal kera chalay
monday naal pia monda
khenda,wajan pay
tarkallay
akhiaan vich naeen sharm da kajla,muaan tay naeen pallay
tay ucha ucha saaray
waikhen,koi na waikhay
thallay tay neeveen nazar kivain
koi rakhay, uchiaan hain
dukanan
tu ke janain poliay
majayA,narkali dian
shanan
tay char chaferay teddy
phirday tay naveen bahar day keeray
tay chaaray hoay ucharaan waangoon paatan haakay
leeray. tay wakhiaan utoon khul khul jaavan tich tich kerday beeray
jairaa waikhay jeeb apni
dandaan aith dabeeray tay daadian tang
pushaakaan day vitch
pathiaan hoiaan janaan
tu kee jaanain poliay
majay,Anarkali diaan
shaanan
tay jairee thaavain nazree aawan chaar musafar kathay
tay uchar thaavain pay
jaanday nay peir teray
kion matthay hil pay ethon bewakoofay
log keran gay thathay
es dukaanay paan
wakainday tu samjay nay
patthay
tay jethaaiay saavay patar suiaan karan zubaanan tu kee jaanain poliay majay,Anarkali diaan shaanan
aa variaan ay dangar
maala,toon aj kairay
paasay tay paisay day nay puttar saaray es gali day waasay
maatarr aithay khali
aanday tay kharday khaali kaasay
tay pallay jay ker paisay
hovan, dul dul painday
haasay
tay botiaan meino aandiaan koi naeen iko gal mukanana
tu kee janain poliay
majay,Anarkali dian
shanaan.

Re: Guest of the Week - ajazali

un ke "bennain" kaisi lagti hai ap ko?

Re: Guest of the Week - ajazali

kofta by anwar masood is :lajawab:
http:\Kofta by Anwar Masood (Punjabi) - YouTube

Re: Guest of the Week - ajazali

wo bhi :lajawab: hai
aj keh pakaeye
kofta
chah te lassi
:k:

Re: Guest of the Week - ajazali

:hehe: :k:

Re: Guest of the Week - ajazali

Saghar Sidiquee

Kaliyon ki mehak hota taroon ki zia hota
main bhi tere gulshan mein phoolon ka khuda hota

tum haal e pareshan ki pursish k liye aate
sehra e tamanna mein mela sa laga hota

her cheez zamane ki aaina dil hoti
khamosh mohabbat ka itna to sila hota

her gaam pe kaam aate zulfon k teri saaye
yeh qafla e hasti be rahnuma hota

ehsas ki dali per aik phool mehakta hai
zulfon k liye tumne ik roz chuna hota

Re: Guest of the Week - ajazali

Zabardast :k:

Re: Guest of the Week - ajazali

Meray wahm-o-gumaan say bhi ziadah roth jata hai.
Yeh dil apni hadoon main reh kar itnaa toot jata hai.

Main roun to dar-o-dewar muj pe hansne lagte hain.
Hansoon to meray andar janay kya kya toot jata hai.

May jis lamhe k khwahish me safar karta ho sadiyo ka.
Kaheen pawoon talay aa kar woh lamha toot jata hai.

Mere khawabon ki basti se janazay uthtay jatay hain.
Meri aankhain jisay chhu lain woh sapna toot jata hai.

Shakist o rekht itni hai muqaddar main mere Saghar
Main jis ko apna keh doon woh sitara toot jata hai.

Re: Guest of the Week - ajazali

Thanks :slight_smile:

Re: Guest of the Week - ajazali

Buhat Ala :k:

Re: Guest of the Week - ajazali

nice sharing ajaz... wo shayari jo qanootiyat o yaasiyat (depression) phelae wo maqbool kiyun hoti hai? kia insan fitratan gham ko pasand karne wala hai?

Re: Guest of the Week - ajazali

maqbool kam hoti hai, leken waqti taur pe log ossay passand zaroor kartay hain. lekn main normally aisi shair share nahi karta kyon k en k hamari personality pe side effects(may be in long run if not immediate) bohat zayada hotay hain.
es ghazal main es leay ye shair remove nahi kia kyon k ye ghazal ka hissa hai, aur main samjhta hun shayed ye shayer k sath zaydti hogi ager hum apni marzi ka shair remove kar dain :D
ye aur baat ha jiss shair ka aapko matlb samjh nahi aa raha oosay aap remove kar dain :D

Re: Guest of the Week - ajazali

Bohat Aala.......