Baad mein na kahna k tumhara bayan haath kisney khaa liya hai ![]()
aap fiqr na kee jiye ga .humein hatana itna asan nahi
hamaray ehsaan ko yaad karo ehsan saheb ko nahi:snooty:
Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham
yeh MULK hamara hai!!!
mein kahungi ke shikra ne kha liya:phati:
Ohhhhhhhhhhhh oops, meney aapka ehsaan maan-ney ki bajaaey ehsan sahab ki baat maan lee
Ab tou kuch nahi ho sakta badshah salamat, mein waadey ka pakka hoon aur ehsan sahab sey waada kar chuka hoon k ye mulk mein chalaaonga aur iska aboori nizam merey hukam sey chaley gaa.
Shikra baazu nahi khaa sakta kyon k woh bohat bara hota hai, shikra sirf bazu ko zakhmi kar sakta hai ![]()
Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham
baat to sahi ki
chalo phir mera bazu bach gaya
Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham
Bhook lagi hai, I think mujhe dinner kar hi lena chahiye ab ![]()
hum say baat na keejiye:snooty:
meine abhi chicken soup khaya hai ![]()
^ Chicken soup khaatey nahi, peetey hain paindoo ![]()
Ab aap sey baat meri nayi jailer pagli karey gee ![]()
Pehlay qom say khitaab karein, Flooder koh lock up mein bund karein aur kaneez kee bhajaiye inn kay lock up kay bahar eik bara sa kaneeza khara krein. Foran
oye mein koi jailer vailer nai hun:snooty:
Aur agar chicken soup mein barey barey chicken aur vegetables ho to usko khate hain:smilestar: paindoo:snooty:
Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham
![]()
![]()
:o
Bilkul bajaa farmaya aap ney Ehsan sahab.
**Merey azeez cafe walo,
Assalam-o-Alaikum
Jaisa k aap mein sey ziada tarr logon ko maloom ho hi chuka hai k zaalim badshah salamat (chavl-e-azam) ka takhta ulat diya jaa chuka hai. Logon ney unkey muzaalim sey tang aa kar uncle sam (uncle ehsan) ko shikayat kee thee jiskey nateejey mein badshah ko qaid kar diya gaya hai aur unn par muqaddima chalaya jaya gaa. Unki sab shaadiyan aur nikah naamey mansookh kar diye gaye hain aur unki tamam biwiyan azaad hain.
Hamey awaam ki bhalayi k liye ye karwa ghont peena para. Aaj sey aap sab azaad hain. Jashan manaaein. Aap bharosa rakhein k hum sab mil kar cafe ko taraqqee ki rah par ley jaaengey. Ab cafe aik jamhooriya hai, kisi badshah ki jaageer nahi.
Aap hamara saath dein, hum aapka saath dengey.
Cafe, paa’enda baad. ![]()
**
**
Flooder-e-Azam ka Aakhri khitaab:
**
**mere azeez logoo!!!
jab zulm urooj pe pohanch jae aur jab na-insaafi ke kale badal har jaga phail jain to tab sab gharoon main chup kar beth jate hain.Hum aap sab ke majhboori bhi samajh gae..zulm ke khilaaf awaaz uthanay ke aap main himat nahi.Hum bhi thak chuke hain.Humein bohat dukh ke saath kehna parh raha hai ke ab hum aap logon ke beech main nahe rahein ge.Ab apni bachi kuchi zindagi apnay sunehray paloon aur apni malikah ko yaad kartay rahein ge
Dua kartay hain keh ap is zulm ke khilaaf awaz utha ke apna mulk wapis khasil karein.Shayed hum aap ke liye zalim badshah rahe hoon magar jo bhi kiya aap ke behtari ke liye .Hum say gar koi khata hui ho to maaf kijiye ga.Allah aap sab ka hami-o-nasir ho.Hamaray anjaam ke liye dua kee jiye ga
Khuda Hafiz
**
Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham
Shaam ko tea party mein Ehsan sahab sey baatein karing
Mubarak ho Ehsan sahab, badshah salamat ney baa-izzat rasta ikhtiyaar kiya aur apni haar maan chukey hain. FATEH!
![]()
Zulm phir zulm hai, baRhta hai tau miT jaataa hai
Khoon phir Khoon hai, TapkaY gaa tau ja’m jaayega
Khaak-e-sehra pe jamey yaa kaf-e-qaatil pe jamey
Farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jamey
TeGh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jamey
Khoon phir Khoon hai TapkaY gaa to ja’m jaayega
Laakh baiThaY koi chhup chhup ke kameeN gaahoN maiN
Khoon Khud deta hai jallaadoN ke maskan ka suraaGh:shikari:
SaazishaiN laaKh uRaati rahaiN zulmat ka naqaab
laY ke har booNd nikalti hai hatheli pe charaaGh ![]()
Zulm kee qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
Jab’r kee hikmat-e-purkaar ke eemaa se kaho
Mehmal-e-majlis-e-aqwaam kee laila se kaho
Khoon deewana hai, daaman pe lapak sakta hai
Sho’la-e-tuNd hai, Khirman pe lapak sakta hai
tum ne jiss Khoon ko maqtal maiN dabaanaa chaaha
Aaj vo koochaa-o-bazaar maiN aa nikla hai
kaheeN sho’la kaheeN naa’rah kaheeN patthar ba’n ke
Khoon chalta hai to rukta naheeN sangeenoN se ![]()
Sar jo uThtaa hai to dabtaa naheeN aaeenoN se
Zulm ki baat hee kiya, zulm ki auqaat hee kiya
Zulm bas zulm hai, aaGhaaz se anjaam talak
Khoon phir Khoon hai, so shak’l badal sakta hai
Aisi shaklaiN ke miTaaoo tau miTaaye na banaY
AisaY sho’laY kaY bujhaao tau bujhaaye na banaY
AisaY naa’raY kaY dabaao tau dabaaye na banaY
![]()
Badsha salamat ab kis spider hole main pai jain gay ?
Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham
AlamPanah kay liye aik classical Mujra paish kia jaye.
Re: GS ke Muntazim (admin) ke naam ek pegham
Alam channa... I mean Alam panah :) ap VIP jail main kab ja rahay hain?